Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ki KHushbu

Azra Abbas

samundar ki KHushbu

Azra Abbas

MORE BYAzra Abbas

    samundar ḳhushbū mere peT

    meñ ghul rahī hai

    vo zarā fāsle par bichhā hai

    aur ḳhāmoshī se āsmān ko ḳhud ko

    takte hue dekh rahā hai

    maiñ ek kamre meñ

    surḳh qālīn par yogā aasan karte hue

    āñkheñ mūñde

    apne dil āvāz sun rahī huuñ

    jo aaj sukūn se hai

    jaise koī bahut thak kar soyā ho

    vasvasoñ ke darmiyān se nikal kar

    maiñ apne dil is āsūdgī par

    ḳhush huuñ

    jaise koī maañ apne bīmār bachche ko

    ārām se sote dekh kar

    chain saañs letī hai

    mere peT meñ samundar ḳhushbū

    ek vaqt ġhizā tarah mujhe zinda kar rahī hai

    us vaqt se pahle

    jab ek baar phir mirā dil sote se

    jaage

    apne vasvasoñ se khelne ke liye

    samundar ki KHushbu mere peT

    mein ghul rahi hai

    wo zara fasle par hi bichha hai

    aur KHamoshi se aasman ko KHud ko

    takte hue dekh raha hai

    main ek kamre mein

    surKH qalin par yoga aasan karte hue

    aankhen munde

    apne dil ki aawaz sun rahi hun

    jo aaj sukun se hai

    jaise koi bahut thak kar soya ho

    waswason ke darmiyan se nikal kar

    main apne dil ki is aasudgi par

    KHush hun

    jaise koi man apne bimar bachche ko

    aaram se sote dekh kar

    chain ka sans leti hai

    mere peT mein samundar ki KHushbu

    ek waqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai

    us waqt se pahle

    jab ek bar phir mera dil sote se

    jage

    apne waswason se khelne ke liye

    Source:

    hairat ke us paar (Pg. 64)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now