Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang-e-mil

Ejaz Farooqi

sang-e-mil

Ejaz Farooqi

MORE BYEjaz Farooqi

    vo ek patthar

    vo saḳht kaalā siyāh patthar

    lahū se tar

    jis tīrgī naag ban ke Dastī thī

    jis saḳhtī se kohsāroñ ke dil dahalte the

    jis ḳhūñ-tishnagī se komal shajar faqat Tahniyoñ hasrat ke zāviye the

    vo ek patthar

    jo ne pheñkā

    mire samundar meñ harakat-e-lā-zavāl ek tāziyāna banā

    vo lahreñ uTThīñ

    ki ḳhāmosh chāñdnī rupahlī chādar bhī thartharā.ī

    vo jhaag nuur tīrgī ke siyāh pardoñ ko chaak karne lagā

    vo shīshe ek dīvār

    jis ko ye samajh rahā thā

    ki ek Thokar se chuur hogī

    vo ek sone thaal ban kar damak rahī hai

    wo ek patthar

    wo saKHt kala siyah patthar

    lahu se tar

    jis ki tirgi nag ban ke Dasti thi

    jis ki saKHti se kohsaron ke dil dahalte the

    jis ki KHun-tishnagi se komal shajar faqat Tahniyon ki hasrat ke zawiye the

    wo ek patthar

    jo tu ne phenka

    mere samundar mein harakat-e-la-zawal ka ek taziyana bana

    wo lahren uTThin

    ki KHamosh chandni ki rupahli chadar bhi thartharai

    wo jhag ka nur tirgi ke siyah pardon ko chaak karne laga

    wo shishe ki ek diwar

    jis ko tu ye samajh raha tha

    ki ek Thokar se chur hogi

    wo ek sone ka thaal ban kar damak rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now