Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-rah

Sahar Ansari

sar-e-rah

Sahar Ansari

MORE BYSahar Ansari

    lamha bhar ke liye chalte chalte qadam ruk ga.e

    ḳhuun ke taaza taaza nishāñ chhoḌ kar

    khāñstī zindagī donoñ hātoñ se siine ko thāme hue

    jaane kis moḌ par ke gum ho ga.ī

    rāste syāhī se lipTā rahā

    ik asāsa jise apne vāris koī zarūrat na thī

    ek TuuTā huā aa.ina

    jis meñ ā.īna-gar bhī sūrat na thī

    merī āñkhoñ ne us ḳhūn-e-tāza nauha paḌhā

    merī sāñsoñ Dorā ulajhne lagā

    aur phir merā insān kuchh der meñ

    apne jaise insān ke ḳhuun se Dar gayā

    ek nādīda maḳhlūq ke ḳhauf se mar gayā

    lamha bhar ke liye chalte chalte qadam ruk gae

    KHun ke taza taza nishan chhoD kar

    khansti zindagi donon haton se sine ko thame hue

    jaane kis moD par ja ke gum ho gai

    raste ki syahi se lipTa raha

    ek asasa jise apne waris ki koi zarurat na thi

    ek TuTa hua aaina

    jis mein aaina-gar ki bhi surat na thi

    meri aankhon ne us KHun-e-taza ka nauha paDha

    meri sanson ka Dora ulajhne laga

    aur phir mera insan kuchh der mein

    apne hi jaise insan ke KHun se Dar gaya

    ek nadida maKHluq ke KHauf se mar gaya

    Source:

    namuud (Pg. 135)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now