Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarab

Ahmad Rahi

sarab

Ahmad Rahi

MORE BYAhmad Rahi

    maiñ jahāñ thā

    vahāñ tīrgī thī ḳhamoshī thī afsurdagī thī

    mire kaan naġhmoñ se mahrūm the

    siskiyāñ mere hoñToñ mīrās thiiñ

    merī āñkheñ kisī sail-e-pur-nūr muntazir thiiñ

    mirī zindagī raakh Dher thī

    maiñ yahāñ aa gayā

    is tarah ḳhuld meñ

    us musalsal aziyyat se kāhish se bachne ḳhātir

    ki jis se faqat ek maiñ nahīñ

    mere jaise ka.ī aur bhī jāñ-ba-lab the

    tirā ḳhuld mere liye

    mere jaise ka.ī dūsroñ ke liye

    raushnī naġhmagī sarḳhushī alāmat thā ye!

    maiñ jahāñ huuñ

    vahāñ tīrgī hai ḳhamoshī hai afsurdagī hai

    mire kaan naġhmoñ se mahrūm haiñ

    siskiyāñ mere kānoñ mīrās haiñ

    merī āñkheñ kisī sail-e-pur-nūr muntazir haiñ

    merī zindagī raakh Dher hai!

    main jahan tha

    wahan tirgi thi KHamoshi thi afsurdagi thi

    mere kan naghmon se mahrum the

    siskiyan mere honTon ki miras thin

    meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir thin

    meri zindagi rakh ka Dher thi

    main yahan aa gaya

    is tarah KHuld mein

    us musalsal aziyyat se kahish se bachne ki KHatir

    ki jis se faqat ek main hi nahin

    mere jaise kai aur bhi jaan-ba-lab the

    tera KHuld mere liye

    mere jaise kai dusron ke liye

    raushni naghmagi sarKHushi ki alamat tha ye!

    main jahan hun

    wahan tirgi hai KHamoshi hai afsurdagi hai

    mere kan naghmon se mahrum hain

    siskiyan mere kanon ki miras hain

    meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir hain

    meri zindagi rakh ka Dher hai!

    Source:

    Rag-e-jan (Pg. 87)

    • Author: Ahmad Rahi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Al-Hamd Publication
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now