Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarapa

Urooj Jafri

sarapa

Urooj Jafri

MORE BYUrooj Jafri

    ek yaad ek chaa.e mag aur kuchh raakh

    purānī kitāboñ ke chand piile varaq

    pītal ashtray aur siyāh moTe

    frame vo chashma

    vo kaalā wallett

    aur kalā.ī pe bañdhī bharī sunahrī gardī

    khaddar aadhe bāzuoñ vaalī shirteñ

    aur maḳhsūs lambān vaalī surma.ī patlūn

    kaale tasmoñ vaale juute aur salīqe

    se jamī maañg

    sab se farāġhat ke ba.ad kalaf meñ akḌā

    safed malmal kurtā aur laTThe shalvār

    allahabadi kaale pumps, cigarette kash

    aur chaa.e ghūñT roz vahī raakh

    ek yaad ek chae ka mag aur kuchh rakh

    purani kitabon ke chand pile waraq

    pital ki ashtray aur siyah moTe

    frame ka wo chashma

    wo kala wallett

    aur kalai pe bandhi bhari sunahri gardi

    khaddar ki aadhe bazuon wali shirten

    aur maKHsus lamban wali surmai patlun

    kale tasmon wale jute aur saliqe

    se jami mang

    sab se faraghat ke baad kalaf mein akDa

    safed malmal ka kurta aur laTThe ki shalwar

    allahabadi kale pumps, cigarette ka kash

    aur chae ka ghunT roz ki wahi rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now