Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sard mausam

Dilshad Naseem

sard mausam

Dilshad Naseem

MORE BYDilshad Naseem

    mausam bahut sard hai in dinoñ

    tumhāre shahr meñ to barf bhī paḌ rahī hogī

    aur shānoñ pe tumhāre gir rahī hogī

    chāhtī huuñ ۔

    siyāh coat pe gire safed barf ke zarroñ ko

    chunūñ is tarah ki jaise

    mirī uñgliyāñ apnī poroñ se tumhārā dard chuntī haiñ

    sochtī huuñ ۔

    ghar se tum jab bhī niklo apne āñchal sā.ebāñ kar duuñ

    ki zarrā bhī koī barf tumhāre bāloñ uljhanoñ ko

    chhū sake na sake

    paaoñ rakho tum jahāñ par

    hatheliyoñ ko farsh kar duuñ

    tumheñ sard dinoñ se shikāyat na ho

    so apnī mohabbat hiddatoñ se

    tumhāre dinoñ ko garm kar duuñ

    nāzuk-mizāj ho tum

    sard mausam raas nahīñ hai tum ko

    nāzuk-mizājiyoñ ḳhayāl rakhnā

    apnā ḳhayāl rakhnā

    ki mausam bahut sard hai in dinoñ

    aur tumhāre shahr meñ to barf bhī paḌ rahī hogī

    mausam bahut sard hai in dinon

    tumhaare shahr mein to barf bhi paD rahi hogi

    aur shanon pe tumhaare gir rahi hogi

    chahti hun ۔

    siyah coat pe gire safed barf ke zarron ko

    chunun is tarah ki jaise

    meri ungliyan apni poron se tumhaara dard chunti hain

    sochti hun ۔

    ghar se tum jab bhi niklo apne aanchal ka saeban kar dun

    ki zarra bhi koi barf ka tumhaare baalon ki uljhanon ko

    chhu sake na pa sake

    paon rakho tum jahan par

    hatheliyon ko farsh kar dun

    tumhein sard dinon se shikayat na ho

    so apni mohabbat ki hiddaton se

    tumhaare dinon ko garm kar dun

    nazuk-mizaj ho tum

    sard mausam ras nahin hai tum ko

    nazuk-mizajiyon ka KHayal rakhna

    apna KHayal rakhna

    ki mausam bahut sard hai in dinon

    aur tumhaare shahr mein to barf bhi paD rahi hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now