Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarhaden

Ahmad Faraz

sarhaden

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    kis se Darte ho ki sab log tumhārī tarah

    ek se haiñ vahī āñkheñ vahī chehre vahī dil

    kis pe shak karte ho jitne bhī musāfir haiñ yahāñ

    ek sab qabīla vahī paikar vahī gil

    ham to vo the ki mohabbat thā vatīra jin

    pyaar se miltā to dushman ke bhī ho jaate the

    is tavaqqo.a pe ki shāyad koī mehmāñ aa jaa.e

    ghar ke darvāze khule chhoḌ ke so jaate the

    ham to aa.e the ki dekheñge tumhāre qarye

    vo dar-o-bām ki tārīḳh ke sūrat-gar haiñ

    vo arīne vo masājid vo kalīsā vo mahal

    aur vo log jo har naqsh se afzal-tar haiñ

    rome ke but hoñ ki paris ho monalisa

    keats qabr ho turbat-e-firdausī ho

    qartaba ho ki ajantā ki mohanjodaḌo

    dīda-e-shauq na mahrūm-e-nazar-bosī ho

    kis ne duniyā ko bhī daulat tarah bāñTā hai

    kis ne taqsīm kiye haiñ ye asāse saare

    kis ne dīvār tafāvut uThā.ī logo

    kyuuñ samundar ke kināre pe haiñ pyāse saare

    kis se Darte ho ki sab log tumhaari hi tarah

    ek se hain wahi aankhen wahi chehre wahi dil

    kis pe shak karte ho jitne bhi musafir hain yahan

    ek hi sab ka qabila wahi paikar wahi gil

    hum to wo the ki mohabbat tha watira jin ka

    pyar se milta to dushman ke bhi ho jate the

    is tawaqqoa pe ki shayad koi mehman aa jae

    ghar ke darwaze khule chhoD ke so jate the

    hum to aae the ki dekhenge tumhaare qarye

    wo dar-o-baam ki tariKH ke surat-gar hain

    wo arine wo masajid wo kalisa wo mahal

    aur wo log jo har naqsh se afzal-tar hain

    rome ke but hon ki paris ki ho monalisa

    keats ki qabr ho ya turbat-e-firdausi ho

    qartaba ho ki ajanta ki mohanjodaDo

    dida-e-shauq na mahrum-e-nazar-bosi ho

    kis ne duniya ko bhi daulat ki tarah banTa hai

    kis ne taqsim kiye hain ye asase sare

    kis ne diwar tafawut ki uThai logo

    kyun samundar ke kinare pe hain pyase sare

    Source:

    Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 528)

    • Author: Ahmad Faraz
      • Edition: 2010
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now