aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarqa-o-tawarud

Muneer Wahidi

sarqa-o-tawarud

Muneer Wahidi

MORE BYMuneer Wahidi

    ek ālim-e-dīñ ne kisī shā.ir se kahā ye

    andāz-e-takallum se ayaañ hai tire sarqa

    ash.ār meñ auroñ ke kartā hai tasarruf

    ye terā taḳhayyul hai ki 'ġhālib' hai charba

    ye shoḳhī-o-jiddat tirī qudrat se hai bāhar

    ye shai to haqīqat meñ buzurgoñ hai virsa

    shā.ir ne adab se ye kahā ālim-e-dīñ se

    taqlīd to hai fitrat-e-insāñ taqāzā

    taqlīd se āzād nahīñ aap bhī zehn

    is par bhī 'hanīfa'-o-'ġhazālī' hai ġhalba

    taqrīr-o-mazāmīñ pe akābir ulmā ke

    hazrat ko bhī kyā ḳhuub tasarruf hai malka

    aap aur sharī.at ke ye pur-pech masā.il

    kyā 'rūmī'-o-'rāzī' nahīñ ye bhī atiyya

    qudrat ho tasarruf pe to jaa.ez hai tasarruf

    nāyāb hai aqvāl-e-salaf ye ḳhazīna

    insān ke a.amāl to niyyat pe haiñ mauqūf

    niyyat ho agar saaf to shar nahīñ shub.ha

    āgāh nahīñ aap tavārud ke amal se

    afsos hai kahte haiñ tavārud ko bhī sarqa

    jaa.ez ise rakkhā hai har ik ahl-e-nazar ne

    Dhal jaa.e na.e jaam meñ gar bāda-e-kohna

    tanqīd kareñ aap zarā soch samajh kar

    ulTā na paḌe aap gardan pe ye harba

    tanqīd fan is qadar āsān nahīñ hai

    shohrat ise aap banā.eñ na zarīya

    ek aalim-e-din ne kisi shair se kaha ye

    andaz-e-takallum se ayan hai tere sarqa

    ashaar mein auron ke tu karta hai tasarruf

    ye tera taKHayyul hai ki 'ghaalib' ka hai charba

    ye shoKHi-o-jiddat teri qudrat se hai bahar

    ye shai to haqiqat mein buzurgon ka hai wirsa

    shair ne adab se ye kaha aalim-e-din se

    taqlid to hai fitrat-e-insan ka taqaza

    taqlid se aazad nahin aap ka bhi zehn

    is par bhi 'hanifa'-o-'ghazali' ka hai ghalba

    taqrir-o-mazamin pe akabir ulma ke

    hazrat ko bhi kya KHub tasarruf ka hai malka

    aap aur shariat ke ye pur-pech masail

    kya 'rumi'-o-'raazi' ka nahin ye bhi atiyya

    qudrat ho tasarruf pe to jaez hai tasarruf

    nayab hai aqwal-e-salaf ka ye KHazina

    insan ke aamal to niyyat pe hain mauquf

    niyyat ho agar saf to shar ka nahin shubha

    aagah nahin aap tawarud ke amal se

    afsos hai kahte hain tawarud ko bhi sarqa

    jaez ise rakkha hai har ek ahl-e-nazar ne

    Dhal jae nae jam mein gar baada-e-kohna

    tanqid karen aap zara soch samajh kar

    ulTa na paDe aap ki gardan pe ye harba

    tanqid ka fan is qadar aasan nahin hai

    shohrat ka ise aap banaen na zariya

    Source:

    Kalam-e-Muneer Wahidi (Pg. 111)

      • Publisher: Nushad Alam
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now