Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saughat

Azra Abbas

saughat

Azra Abbas

MORE BYAzra Abbas

    nazm kaun likhtā hai

    vo jo malāl meñ mubtalā hai

    vo jo jashn manānā bhuul gayā

    hamāre paas tumhārī huī sauġhāt hai

    barsoñ purānī

    ham ne use purāne sāmān ke saath saiñt ke rakkhā hai

    dūsroñ nazroñ se chhupā kar

    koī dekhegā

    nahīñ koī nahīñ

    ham jānte haiñ

    agar ham nahīñ bhī jānte phir bhī

    ye to ḳhufiya vārdāt hai

    ye vo nahīñ hai

    jaise tum kuuḌe ke Dher se uThā lo

    chand roTī ke TukḌoñ ke liye

    malāl kitnī qismeñ haiñ

    ginoge to ginte rah jāoge

    ham jis ābādī meñ rahte haiñ

    ye vahāñ pahchān hai

    use ham ne apne bachchoñ pahuñch se duur rakhne puurī koshish

    ye soch kar ki vo kyā socheñge

    kis thālī meñ khā.eñ

    nazm kaun likhta hai

    wo jo malal mein mubtala hai

    ya wo jo jashn manana bhul gaya

    hamare pas tumhaari di hui saughat hai

    barson purani

    hum ne use purane saman ke sath saint ke rakkha hai

    dusron ki nazron se chhupa kar

    koi dekhega

    nahin koi nahin

    hum jaante hain

    agar hum nahin bhi jaante phir bhi

    ye to KHufiya wardat hai

    ye wo nahin hai

    jaise tum kuDe ke Dher se uTha lo

    chand roTi ke TukDon ke liye

    malal ki kitni qismen hain

    ginoge to ginte rah jaoge

    hum jis aabaadi mein rahte hain

    ye wahan ki pahchan hai

    use hum ne apne bachchon ki pahunch se dur rakhne ki puri koshish ki

    ye soch kar ki wo kya sochenge

    kis thaali mein khaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now