aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saughat

Takht Singh

saughat

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    karoḌoñ jagoñ se mire sāmne thā

    bahut duur tak kholtī dūriyoñ samundar

    lajīlī chup chaap nīlāhaToñ sulagtā sāgar

    samundar ke us paar manD ke auñdhe kueñ meñ

    karoḌoñ jagoñ ke samay

    dhuñdlakoñ meñ lipTī huī paaro rashk tahoñ kaid hoeñ maiñ lagan lagan ke lahke hue peḌ jhūltī Dāliyoñ par

    añdheroñ ke shafāsh pattoñ ke ojhal

    guhar an-ginat raat bhar is tāroñ jin par sajātī

    madhurtā bhare ruup meñ chāñd us par muskurātī

    jab ujlī ro pahlī chhāñv meñ āhista se chheḌ detī

    koī ras meñ bhīgā huā masarrat bharā giit dhartī

    kabhī mast nainoñ jhīloñ ke jal meñ

    vo bhedoñ bharī raushnī Dalī tarah duur tak utartī

    kisī piit joḌe bahkī parchhā.iyoñ meñ

    kabhī rañg sapne ke jaadū bhartī

    kabhī pyaar aag ke āñchaloñ meñ

    vo biite sumoñ madhur yādeñ ban kar bikhartī

    kabhī aag barsāt ThanDī ThanDī pavan meñ

    barrā kaTāroñ se ghāyal diloñ ko dikhātī

    kabhī bhar ke sundar paloñ hasīñ motiyā rañg pyāliyoñ meñ

    mohabbat pyāsī ik ik aatmā ko

    manohar milan madhur kalpanāoñ amrit pilātī

    vo bhar bhar ke mukhḌe muskān se badliyoñ ke kaTore

    kabhī apne darpan aise badan par maze se luñDhātī

    magar aaj dhartī se ambar ke us paar hadd-e-nazar tak

    ḳhirad suhānī suhānī uḌānoñ pal ban chalā hai

    bahut jald us pal pur-nūr rah se guzar kar

    chahaktī huī chāñd apsarā ko

    ragoñ meñ rachā.ī huī qarna-hā-qarn chāñdnī ke evaz maiñ

    maiñ atom ke gambhīr saaya anmol sauġhāt dūñgā

    maiñ bhaTke hue gyaan qīmtī raat dūñgā

    karoDon jagon se mere samne tha

    bahut dur tak kholti duriyon ka samundar

    lajili si chup chap nilahaTon ka sulagta sa sagar

    samundar ke us par manD ke aundhe kuen mein

    karoDon jagon ke samay ki

    dhundlakon mein lipTi hui paro rashk tahon kaid hoen main lagan lagan ke lahke hue peD ki jhulti Daliyon par

    andheron ke shafash patton ke ojhal

    guhar an-ginat raat bhar is taron ki jin par sajati

    madhurta bhare rup mein chand ki us par muskuraati

    jab ujli ro pahli si chhanw mein aahista se chheD deti

    koi ras mein bhiga hua sa masarrat bhara git dharti

    kabhi mast nainon ki jhilon ke jal mein

    wo bhedon bhari raushni Dali ki tarah dur tak ja utarti

    kisi pit joDe ki bahki si parchhaiyon mein

    kabhi rang sapne ke jadu ka bharti

    kabhi pyar ki aag ke aanchalon mein

    wo bite sumon ki madhur yaaden ban kar bikharti

    kabhi aag barsat ki ThanDi ThanDi pawan mein

    barra ki kaTaron se ghayal dilon ko dikhati

    kabhi bhar ke sundar palon ki hasin motiya rang ki pyaliyon mein

    mohabbat ki pyasi ek ek aatma ko

    manohar milan ki madhur kalpanaon ka amrit pilati

    wo bhar bhar ke mukhDe ki muskan se badliyon ke kaTore

    kabhi apne hi darpan aise badan par maze se lunDhati

    magar aaj dharti se ambar ke us par hadd-e-nazar tak

    KHirad ki suhani suhani uDanon ka pal ban chala hai

    bahut jald us pal ki pur-nur rah se guzar kar

    chahakti hui chand ki apsara ko

    ragon mein rachai hui qarna-ha-qarn ki chandni ke ewaz main

    main atom ke gambhir saya ki anmol saughat dunga

    main bhaTke hue gyan ki qimti raat dunga

    Source:

    auraq-shumara-number-02 (Pg. 246)

    • Author: Wazeer Arif Abdul Mateen
      • Edition: january-1967 Issu,02
      • Publisher: Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore
      • Year of Publication: january-1967 Issu,02
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now