Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sayyaron ki mahfil

Abdul Qadir

sayyaron ki mahfil

Abdul Qadir

MORE BYAbdul Qadir

    Interesting Fact

    Such an event is of extreme rarity when all the planets in the solar system come together in one constellation. March 10, 1992 was the date when, after 2160 years, all the planets of the solar system came together in one constellation. The planet Mars was in the middle with three planets Attar, Venus and Earth on one side and Jupiter, Saturn, Uranus and Neptune on the other side. Although Pluto was also present, scientists removed it from the solar system a few years later. Here is a part of what the planets talked about in this rare gathering.

    zamīn

    mirī nazroñ meñ ai mirrīḳh terā darja a.alā hai

    bulandī par rahtā hai tirī qismat bhī baalā hai

    mirrīḳh

    bulandī aur pastī kabhī dhokā nahīñ khā.eñ

    zamīñ uupar dikhā.ī de agar mirrīḳh par aa.eñ

    zamīn

    tujhe maanā hai devtā jañg nādān logoñ ne

    tabāhī diyā ilzām tujh ko rome vāloñ ne

    tujhe bhārat ke dānish-var sadā manhūs kahte haiñ

    tujhe kahte rahe mañgal kabhī jallād kahte haiñ

    batā ai surḳh sayyāre tire hālāt kaise haiñ

    tire tālāb kaise haiñ tire bāġhāt kaise haiñ

    tire pākīza dāman meñ manāzir kaise kaise haiñ

    tirī āġhosh ke andar navādir kaise kaise haiñ

    mirrīḳh

    nahīñ mirrīḳh par jhīleñ na chashma ubaltā hai

    samundar hai na dariyā hai na koī motī miltā hai

    na bulbul ke tarāne haiñ na koī gul mahaktā hai

    parinda bhī nahīñ koī ḳhushī se jo chahaktā hai

    yahāñ jugnū nahīñ koī jo zulmat meñ chamaktā hai

    na hiirā aur nīlam hai hamesha jo damaktā hai

    havā koī jhoñkā hai na sabza lahlahātā hai

    na battaḳhoñ qatāreñ haiñ na taa.ir chachahātā hai

    nasīm-e-sub.h chaltī hai na bādal aur paanī hai

    na gulshan hai yahāñ koī na maujoñ ravānī hai

    mire qutbain ko dekho vahāñ yaḳh-basta paanī hai

    yahī paanī yahāñ par zindagānī nishānī hai

    zamīñ ke log kahte haiñ ki nahroñ ravānī hai

    haqīqat meñ nahīñ aisā faqat jhūTī kahānī hai

    yahāñ sūrat nazar aatī hai ābshāroñ

    nazar aatī hai kasrat har taraf sañglāḳh ġhāroñ

    yahāñ hai gahrā sannāTā ḳhamoshī hukūmat hai

    fazā bhī ḳhushk hai merī nahīñ koī ratūbat hai

    zamīn

    sharīk-e-bazm ho mister atārid tum bhī kuchh bolo

    zabāñ par lag gayā taalā to is mahfil meñ tum kholo

    atārad

    paḌosī huuñ maiñ sūraj namūna huuñ jahannum

    yahāñ shiddat garmī hai to mumkin nahīñ jiinā

    zamīn

    mire nazdīk ho zohra bahut raḳhshanda sayyāra

    yahāñ sab log kahte haiñ ki tum ho sub.h taara

    zohra

    munavvar merā chehra hai maiñ garmī maarā huuñ

    zamīñ hai mujh ko pyārī maiñ zamīñ vāloñ pyārā huuñ

    zamīn

    azīmushshān jussa hai hamārī mantarī tum ho

    jise zebā hai sardārī vo be-shak mushtarī tum ho

    mushtarī

    baḌā hai jism merā aur zīnat kuchh nahīñ mujh meñ

    baḌā gol-gappā huuñ sabāhat kuchh nahīñ mujh meñ

    zamīn

    hamārī anjuman meñ ai zuhal tum nirāle ho

    tumhāre gird halqa hai anokhī shakl vaale ho

    zuhal

    gale meñ tauq hai mere mirī sūrat nirālī hai

    agar nazdīk se dekheñ to ye shai tez āñdhī hai

    nazar aatā hai jo halqa vo haiñ chhoTe baḌe patthar

    lagāte haiñ baḌī ta.adād meñ chāroñ taraf chakkar

    zamīn

    mire do bhaa.ī haiñ aage tumhārā haal kaisā hai

    vahāñ hai kaifiyat kaisī vahāñ māhaul kaisā hai

    uranus

    yahāñ shiddat sardī hai lihāzā maiñ bhī ThanDā huuñ

    zarā merī taraf dekho baḌā golā ganDā huuñ

    neptune

    mujhe neptune kahte haiñ usī kumbe huuñ member

    bahut duurī hai sūraj se lagātā huuñ baḌā chakkar

    mirrīḳh

    maiñ pahuñchā is natīje par zamīñ par ḳhush-numā.ī hai

    ḳhudā ne phuul aur paudoñ se ye duniyā sajā.ī hai

    zamīñ par zindagī hai husn hai aur dilrubā.ī hai

    mujhe ulfat zamīñ se hai vahī dil meñ samā.ī hai

    vahāñ ābād haiñ insāñ vahāñ shān-e-ḳhudā.ī hai

    hamārī kahkashāñ meñ aisī qismat kis ne paa.ī hai

    zamin

    meri nazron mein ai mirriKH tera darja aala hai

    bulandi par tu rahta hai teri qismat bhi baala hai

    mirriKH

    bulandi aur pasti ka kabhi dhoka nahin khaen

    zamin upar dikhai de agar mirriKH par aaen

    zamin

    tujhe mana hai dewta jang ka nadan logon ne

    tabahi ka diya ilzam tujh ko rome walon ne

    tujhe bhaarat ke danish-war sada manhus kahte hain

    tujhe kahte rahe mangal kabhi jallad kahte hain

    bata ai surKH sayyare tere haalat kaise hain

    tere talab kaise hain tere baghat kaise hain

    tere pakiza daman mein manazir kaise kaise hain

    teri aaghosh ke andar nawadir kaise kaise hain

    mirriKH

    nahin mirriKH par jhilen na chashma hi ubalta hai

    samundar hai na dariya hai na koi moti milta hai

    na bulbul ke tarane hain na koi gul mahakta hai

    parinda bhi nahin koi KHushi se jo chahakta hai

    yahan jugnu nahin koi jo zulmat mein chamakta hai

    na hira aur nilam hai hamesha jo damakta hai

    hawa ka koi jhonka hai na sabza lahlahata hai

    na battaKHon ki qataren hain na tair chachahata hai

    nasim-e-subh chalti hai na baadal aur pani hai

    na gulshan hai yahan koi na maujon ki rawani hai

    mere qutbain ko dekho wahan yaKH-basta pani hai

    yahi pani yahan par zindagani ki nishani hai

    zamin ke log kahte hain ki nahron ki rawani hai

    haqiqat mein nahin aisa faqat jhuTi kahani hai

    yahan surat nazar aati hai aabshaaron ki

    nazar aati hai kasrat har taraf sanglaKH ghaaron ki

    yahan hai gahra sannaTa KHamoshi ki hukumat hai

    faza bhi KHushk hai meri nahin koi ratubat hai

    zamin

    sharik-e-bazm ho mister atarid tum bhi kuchh bolo

    zaban par lag gaya tala to is mahfil mein tum kholo

    atarad

    paDosi hun main suraj ka namuna hun jahannum ka

    yahan shiddat ki garmi hai to mumkin hi nahin jina

    zamin

    mere nazdik ho zohra bahut raKHshanda sayyara

    yahan sab log kahte hain ki tum ho subh ka tara

    zohra

    munawwar mera chehra hai main garmi ka mara hun

    zamin hai mujh ko pyari main zamin walon ka pyara hun

    zamin

    azimushshan jussa hai hamari mantari tum ho

    jise zeba hai sardari wo be-shak mushtari tum ho

    mushtari

    baDa hai jism mera aur zinat kuchh nahin mujh mein

    baDa sa gol-gappa hun sabahat kuchh nahin mujh mein

    zamin

    hamari anjuman mein ai zuhal tum hi nirale ho

    tumhaare gird halqa hai anokhi shakl wale ho

    zuhal

    gale mein tauq hai mere meri surat nirali hai

    agar nazdik se dekhen to ye shai tez aandhi hai

    nazar aata hai jo halqa wo hain chhoTe baDe patthar

    lagate hain baDi tadad mein chaaron taraf chakkar

    zamin

    mere do bhai hain aage tumhaara haal kaisa hai

    wahan hai kaifiyat kaisi wahan mahaul kaisa hai

    uranus

    yahan shiddat ki sardi hai lihaza main bhi ThanDa hun

    zara meri taraf dekho baDa sa gola ganDa hun

    neptune

    mujhe neptune kahte hain usi kumbe ka hun member

    bahut duri hai suraj se lagata hun baDa chakkar

    mirriKH

    main pahuncha is natije par zamin par KHush-numai hai

    KHuda ne phul aur paudon se ye duniya sajai hai

    zamin par zindagi hai husn hai aur dilrubai hai

    mujhe ulfat zamin se hai wahi dil mein samai hai

    wahan aabaad hain insan wahan shan-e-KHudai hai

    hamari kahkashan mein aisi qismat kis ne pai hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now