Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaer ki tamanna

Jameel Mazhari

shaer ki tamanna

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    agar is gulshan-e-hastī meñ honā muqaddar thā

    to maiñ ġhunchoñ muTThī meñ dil-e-bulbul huā hotā

    gunāhoñ meñ zarar hotā, duāoñ meñ asar hotā

    mohabbat nazar hotā, hasīnoñ adā hotā

    faroġh-e-chehra-e-mehnat, ġhubār-e-dāman-e-daulat

    nam-e-peshānī-e-ġhairat, ḳham-e-zulf-e-rasā hotā

    huā hotā kisī dastār-e-kaj par phuul tarah

    aur us dastār-e-kaj tamkanat par hañs rahā hotā

    kisī maġhrūr gardan pe hotā bojh ehsāñ

    kisī zālim ke dil meñ dard ho kar lā-davā hotā

    kisī mun.im ke chehre par ḳhushī hājat-ravā.ī

    kisī nādār nazroñ meñ sharm-e-iltijā hotā

    kisī bhaTke hue raahī ko detā dāvat-e-manzil

    bayābāñ añdherī shab meñ jogī diyā hotā

    kisī ke kalba-e-ahzāñ meñ sham-e-muzmahil ban kar

    kisī bīmār muflis ke sirhāne ro rahā hotā

    sharar ban kar kisī nādār ghar ke sard chūlhe meñ

    ''ba-sad ummīd-e-fardā'' zer-e-ḳhākistar dabā hotā

    yatīm-e-be-navā rah-guzar par ashrafī ban kar

    la.īm-e-fāqa-kash jeb-e-mumsik se girā hotā

    niystāñ se nikal kar hasrat-ābād-e-tamaddun meñ

    gadā-e-pīr o nā-bīnā ke hāthoñ asā hotā

    shikasta jhoñpaḌe meñ bāñsurī-e-dahqāñ sur ban kar

    sukūt-e-nīm-shab meñ rāz-e-hastī kah rahā hotā

    ġharaz is hasrat-o-andoh-o-yās-o-ġham bastī meñ

    kahīñ daur-āfrīñ hotā, kahīñ dard-āshnā hotā

    ''Duboyā mujh ko hone ne'' ba-qaul-e-ġhālib-e-dānā

    ''na thā kuchh to ḳhudā thaa, kuchh na hotā to ḳhudā hotā''

    agar is gulshan-e-hasti mein hona hi muqaddar tha

    to main ghunchon ki muTThi mein dil-e-bulbul hua hota

    gunahon mein zarar hota, duaon mein asar hota

    mohabbat ki nazar hota, hasinon ki ada hota

    farogh-e-chehra-e-mehnat, ghubar-e-daman-e-daulat

    nam-e-peshani-e-ghairat, KHam-e-zulf-e-rasa hota

    hua hota kisi dastar-e-kaj par phul ki tarah

    aur us dastar-e-kaj ki tamkanat par hans raha hota

    kisi maghrur ki gardan pe hota bojh ehsan ka

    kisi zalim ke dil mein dard ho kar la-dawa hota

    kisi munim ke chehre par KHushi hajat-rawai ki

    kisi nadar ki nazron mein sharm-e-iltija hota

    kisi bhaTke hue rahi ko deta dawat-e-manzil

    bayaban ki andheri shab mein jogi ka diya hota

    kisi ke kalba-e-ahzan mein sham-e-muzmahil ban kar

    kisi bimar muflis ke sirhane ro raha hota

    sharar ban kar kisi nadar ghar ke sard chulhe mein

    ba-sad ummid-e-farda zer-e-KHakistar daba hota

    yatim-e-be-nawa ki rah-guzar par ashrafi ban kar

    laim-e-faqa-kash ki jeb-e-mumsik se gira hota

    niystan se nikal kar hasrat-abaad-e-tamaddun mein

    gada-e-pir o na-bina ke hathon ka asa hota

    shikasta jhonpaDe mein bansuri-e-dahqan ki sur ban kar

    sukut-e-nim-shab mein raaz-e-hasti kah raha hota

    gharaz is hasrat-o-andoh-o-yas-o-gham ki basti mein

    kahin daur-afrin hota, kahin dard-ashna hota

    Duboya mujh ko hone ne ba-qaul-e-ghaalib-e-dana

    na tha kuchh to KHuda tha, kuchh na hota to KHuda hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now