Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahkar

Abid Almi

shahkar

Abid Almi

MORE BYAbid Almi

    utartā jaatā hai rag rag meñ zahr-e-naumīdī

    nazar ko miltī hai har samt naqsh naqsh meñ yaas

    dil-o-dimāġh aalam sukūt se pur hai

    vo intihā ki ḳhamoshī pahra hai jis par

    abhī se kyoñ mirī taqdīr ho ga.ī mujh ko

    qadam qadam pe milī zindagī adū ban kar

    abhī to mere ḳhayāloñ ko aur ronā thā

    siyāh rāh-e-tasavvur pe chhā.ī to lekin

    kuchh is tarah ki sitāroñ niiñd na khulī

    tamām raat maiñ dukh talāsh kartā rahā

    sahar huī to taḳhayyul vādiyoñ meñ mujhe

    shajar shajar pe na.ī koft ke dhuñdalke mile

    mirā nasīb ki phir bhī fuġhāñ na kar paayā

    mire ḳhayāl ye kyā hādisa huā āḳhir

    zamāna taktā hai hairat se yuuñ mujhe jaise

    ik ajnabī se musavvir shāhkār huuñ maiñ

    utarta jata hai rag rag mein zahr-e-naumidi

    nazar ko milti hai har samt naqsh naqsh mein yas

    dil-o-dimagh ka aalam sukut se pur hai

    wo intiha ki KHamoshi ka pahra hai jis par

    abhi se kyon meri taqdir ho gai mujh ko

    qadam qadam pe mili zindagi adu ban kar

    abhi to mere KHayalon ko aur rona tha

    siyah rah-e-tasawwur pe chhai to lekin

    kuchh is tarah ki sitaron ki nind hi na khuli

    tamam raat main dukh ki talash karta raha

    sahar hui to taKHayyul ki wadiyon mein mujhe

    shajar shajar pe nai koft ke dhundalke mile

    mera nasib ki phir bhi fughan na kar paya

    mere KHayal ye kya hadisa hua aaKHir

    zamana takta hai hairat se yun mujhe jaise

    ek ajnabi se musawwir ka shahkar hun main

    Source:

    Daira (Pg. 49)

    • Author: Abid Almi
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu, Rohtak, (Haryana)
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now