Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shairi sach bolti hai

Qateel Shifai

shairi sach bolti hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    laakh pardoñ meñ rahūñ bhed mire kholtī hai

    shā.irī sach boltī hai

    maiñ ne dekhā hai ki jab mirī zabāñ Doltī hai

    shā.irī sach boltī hai

    terā isrār ki chāhat mirī betāb na ho

    vāqif is ġham se mirā halqa-e-ahbāb na ho

    to mujhe zabt ke sahrāoñ meñ kyuuñ roltī hai

    shā.irī sach boltī hai

    ye bhī kyā baat ki chhup chhup ke tujhe pyaar karūñ

    gar koī pūchh baiThe to maiñ inkār karūñ

    jab kisī baat ko duniyā nazar taultī hai

    shā.irī sach boltī hai

    maiñ ne is fikr meñ kāTeñ ka.ī rāteñ ka.ī din

    mire sheroñ meñ tirā naam na aa.e lekin

    jab tirī saañs mirī saañs meñ ras gholtī hai

    shā.irī sach boltī hai

    tere jalvoñ hai par tirī mirī ek ek ġhazal

    to mire jism saaya hai to katrā ke na chal

    parda-dārī to ḳhud apnā bharam kholtī hai

    shā.irī sach boltī hai

    lakh pardon mein rahun bhed mere kholti hai

    shairi sach bolti hai

    main ne dekha hai ki jab meri zaban Dolti hai

    shairi sach bolti hai

    tera israr ki chahat meri betab na ho

    waqif is gham se mera halqa-e-ahbab na ho

    to mujhe zabt ke sahraon mein kyun rolti hai

    shairi sach bolti hai

    ye bhi kya baat ki chhup chhup ke tujhe pyar karun

    gar koi puchh hi baiThe to main inkar karun

    jab kisi baat ko duniya ki nazar taulti hai

    shairi sach bolti hai

    main ne is fikr mein kaTen kai raaten kai din

    mere sheron mein tera nam na aae lekin

    jab teri sans meri sans mein ras gholti hai

    shairi sach bolti hai

    tere jalwon ka hai par teri meri ek ek ghazal

    to mere jism ka saya hai to katra ke na chal

    parda-dari to KHud apna hi bharam kholti hai

    shairi sach bolti hai

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 147)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now