Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham ka aKHbar

Mirza Mohammad Nayar

sham ka aKHbar

Mirza Mohammad Nayar

MORE BYMirza Mohammad Nayar

    denā bhaa.ī haañ mujhe bhī shaam aḳhbār ek

    phir kisī ThanDe lahū ne garm hogī ḳhabar

    kaun se beTe hue haiñ stikato nazr

    aaj shah-surḳhiyoñ meñ ḳhūn-e-nāhaq phir milā

    taaza taaza zard kāġhaz par gul-e-ahmad khilā

    kis galī mātam bichhā hai

    kyā saroñ hai shumār

    aaTh column ḳhabar ke vāste haiñ sirf chār?

    ḳhaak meñ luthḌī huī sūrat hai ye kis phuul

    kahte haiñ dīvār-o-dar building hai ye schōl

    aaj to tasvīr bhī dhundlā ga.ī maqtūl

    nā-munāsib hai reporting

    be-tukī manzar-kashī

    kyuuñ nahīñ rakh paate haiñ parche ye me.aar ek

    ban ga.ī hai ab sahāfat jaise kārobār ek

    denā bhaa.ī phir bhī mujh ko shaam aḳhbār ek

    dena bhai han mujhe bhi sham ka aKHbar ek

    phir kisi ThanDe lahu ne garm ki hogi KHabar

    kaun se beTe hue hain stikato ki nazr

    aaj ki shah-surKHiyon mein KHun-e-nahaq phir mila

    taza taza zard kaghaz par gul-e-ahmad khila

    kis gali matam bichha hai

    kya saron ka hai shumar

    aaTh column ki KHabar ke waste hain sirf chaar?

    KHak mein luthDi hui surat hai ye kis phul ki

    kahte hain diwar-o-dar building hai ye school ki

    aaj to taswir bhi dhundla gai maqtul ki

    na-munasib hai reporting

    be-tuki manzar-kashi

    kyun nahin rakh pate hain parche ka ye mear ek

    ban gai hai ab sahafat jaise karobar ek

    dena bhai phir bhi mujh ko sham ka aKHbar ek

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now