Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham-o-sahar

Sohan Rahi

sham-o-sahar

Sohan Rahi

MORE BYSohan Rahi

    kyā mausam-e-gul hai ki yahāñ phuul nahīñ

    kāñTe dar-o-dīvār zīnat dar-o-dīvār pe raqsāñ

    har gul mahak tere mire ḳhuuñ mahak hai

    insān ke ranjīda dil-o-jāñ kasak hai

    har shāḳh mehrāb pe haiñ ḳhuun ke chhīñTe

    pyāse ḳhas-o-ḳhāshāk taḌapte haiñ shab-o-roz

    shabnam ziyā-bār damaktī huī paa.el

    ojhal hai nigah se

    koyal koī kuuk na raushan koī naġhma

    har kūcha-e-ehsās meñ golī azaañ hai

    bam aslaha aur bārūd ke chole pahan kar

    ham sar-phire tahzīb-o-tamaddun ke liye

    haiñ gasht meñ aise

    jaise ki ye bam aur bārūd

    hoñ sab masā.il hal

    jaise hoñ yahī azmat-e-insāñ ke muhāfiz

    jaise ki mire amn-o-amāñ

    ho in ke karam par

    jaise ki mire bāġh-e-bahārāñ hifāzat

    ho in ināyat

    jaise ki hasīñ phūloñ ismat ke liye

    ab mausam-e-gul meñ bhī

    golī bam aur bandūq

    ho ne.amat

    kya mausam-e-gul hai ki yahan phul nahin

    kanTe dar-o-diwar ki zinat dar-o-diwar pe raqsan

    har gul ki mahak tere mere KHun ki mahak hai

    insan ke ranjida dil-o-jaan ki kasak hai

    har shaKH ki mehrab pe hain KHun ke chhinTe

    pyase KHas-o-KHashak taDapte hain shab-o-roz

    shabnam ki ziya-bar damakti hui pael

    ojhal hai nigah se

    koyal ki koi kuk na raushan koi naghma

    har kucha-e-ehsas mein goli ki azan hai

    bam aslaha aur barud ke chole pahan kar

    hum sar-phire tahzib-o-tamaddun ke liye

    hain gasht mein aise

    jaise ki ye bam aur barud

    hon sab hi masail ka hal

    jaise hon yahi azmat-e-insan ke muhafiz

    jaise ki mere amn-o-aman

    ho in ke karam par

    jaise ki mere bagh-e-bahaaran ki hifazat

    ho in ki inayat

    jaise ki hasin phulon ki ismat ke liye

    ab mausam-e-gul mein bhi

    goli bam aur banduq

    ho neamat

    Source:

    Shair (Pg. 24)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now