Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shanti

Yusuf Rahat

shanti

Yusuf Rahat

MORE BYYusuf Rahat

    tumhāre āñgan meñ raushnī ho

    hamāre ghar meñ bhī zindagī ho

    tumhāre bachche bhī muskurā.eñ

    hamāre bachche bhī ro na paa.eñ

    tumheñ bhī lab kholne haq ho

    hameñ bhī kuchh bolne haq ho

    tumhārī jantā bhī pur-sukūñ ho

    hameñ bhī ik amn junūñ ho

    tumheñ bhī chāhat justujū ho

    hameñ bhī insāniyat ḳhū ho

    chalo ik aisī fazā ḳhātir

    ham ek ho kar alam uThā.eñ

    chalo ki nafrat sab fasīleñ

    khaḌī haiñ kab se unheñ girā.eñ

    tarāne amn aur āshtī ke

    ham apne apne suroñ meñ gaa.eñ

    chalo ki zulmat āñdhiyoñ meñ

    mohabbatoñ ke diye jalā.eñ

    nizām-e-zar burā.iyoñ ko

    jabr sab ḳhudā.iyoñ ko

    tum apnī dhartī pe rauñd Daalo

    ham apne māhaul se haTā.eñ

    phir ek aisā nizām hogā

    sitam qissa tamām hogā

    na koī jag meñ rahegā hākim

    na koī jag meñ ġhulām hogā

    chalo ki mil kar alam uThā.eñ

    mohabbatoñ ke diye jalā.eñ

    tumhaare aangan mein raushni ho

    hamare ghar mein bhi zindagi ho

    tumhaare bachche bhi muskuraen

    hamare bachche bhi ro na paen

    tumhein bhi lab kholne ka haq ho

    hamein bhi kuchh bolne ka haq ho

    tumhaari janta bhi pur-sukun ho

    hamein bhi ek amn ka junun ho

    tumhein bhi chahat ki justuju ho

    hamein bhi insaniyat ki KHu ho

    chalo ek aisi faza ki KHatir

    hum ek ho kar alam uThaen

    chalo ki nafrat ki sab fasilen

    khaDi hain kab se unhen giraen

    tarane amn aur aashti ke

    hum apne apne suron mein gaen

    chalo ki zulmat ki aandhiyon mein

    mohabbaton ke diye jalaen

    nizam-e-zar ki buraiyon ko

    jabr ki sab KHudaiyon ko

    tum apni dharti pe raund Dalo

    hum apne mahaul se haTaen

    phir ek aisa nizam hoga

    sitam ka qissa tamam hoga

    na koi jag mein rahega hakim

    na koi jag mein ghulam hoga

    chalo ki mil kar alam uThaen

    mohabbaton ke diye jalaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now