Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabab-e-gurezan

Noon Meem Rashid

shabab-e-gurezan

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    mai-e-tāza-o-nāb hāsil nahīñ hai

    to kar lūñgā durd-e-tah-e-jām kar guzārā!

    mujhe ek nau-ras kalī ne

    ye ta.ana diyā thaa:

    tirī umr ye taqāzā hai

    aise phūloñ bhoñrā bane

    jin meñ do chaar din mahak rah ga.ī ho

    ye sach hai vo tasvīr

    jis ke sabhī rañg dhundlā ga.e hoñ

    na.e rañg us meñ bhare kaun kar

    na.e rañg laa.e kahāñ se?

    tire āsmāñ kaa,

    maiñ ik taaza vārid sitārā sahī

    jāntā huuñ ki, is āsmāñ par

    bahut chāñd, sūraj, sitāre ubhar kar

    jo ik baar Duube to ubhre nahīñ haiñ

    farāmosh-gārī ke niile ufuq se,

    unhī tarah maiñ bhī

    nā-tajarba-kār insāñ himmat se aage baḌhā huuñ,

    jo aage baḌhā huuñ,

    to dil meñ havas ye nahīñ hai

    ki ab se hazāroñ baras ba.ad dāstānoñ meñ

    zinda ho ik baar phir naam merā!

    ye shām-e-dil-āvez to ik bahāna hai,

    ik koshish-e-nā-tavāñ hai

    shabāb-e-gurezāñ ko jaate hue rokne

    vagarna hai kaafī mujhe ek pal sahārā,

    huuñ ik taaza vārid, musībat maarā

    maiñ kar lūñgā durd-e-tah-e-jām kar guzārā!

    mai-e-taza-o-nab hasil nahin hai

    to kar lunga durd-e-tah-e-jam pi kar guzara!

    mujhe ek nau-ras kali ne

    ye tana diya tha:

    teri umr ka ye taqaza hai

    tu aise phulon ka bhonra bane

    jin mein do chaar din ki mahak rah gai ho

    ye sach hai wo taswir

    jis ke sabhi rang dhundla gae hon

    nae rang us mein bhare kaun la kar

    nae rang lae kahan se?

    tere aasman ka,

    main ek taza warid sitara sahi

    jaanta hun ki, is aasman par

    bahut chand, suraj, sitare ubhar kar

    jo ek bar Dube to ubhre nahin hain

    faramosh-gari ke nile ufuq se,

    unhi ki tarah main bhi

    na-tajarba-kar insan ki himmat se aage baDha hun,

    jo aage baDha hun,

    to dil mein hawas ye nahin hai

    ki ab se hazaron baras baad ki dastanon mein

    zinda ho ek bar phir nam mera!

    ye sham-e-dil-awez to ek bahana hai,

    ek koshish-e-na-tawan hai

    shabab-e-gurezan ko jate hue rokne ki

    wagarna hai kafi mujhe ek pal ka sahaara,

    hun ek taza warid, musibat ka mara

    main kar lunga durd-e-tah-e-jam pi kar guzara!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now