Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shafaq

Saqib Kanpuri

shafaq

Saqib Kanpuri

MORE BYSaqib Kanpuri

    ai shafaq ai zevar-e-ārā.ish-e-charḳh-e-barīñ

    tujh meñ vo shoḳhī hai jo ḳhūn-e-shahīdāñ meñ nahīñ

    terī har har mauj meñ hai lāla-e-ahmar rang

    aql-e-insānī hai jis ko dekh kar hairat se dang

    ne kholā mai-kada ahl-e-falak ke vāste

    mast in ko kar diyā apnī sharāb-e-surḳh se

    terā ye rangīn manzar ik tilism-e-ḳhvāb hai

    terī ye shoḳhī hai ik mauja-e-betāb hai

    sach batā de kaun hai jis hai tujh meñ in.ikās

    ai shafaq kartī hai kis ke nuur se iqtibās

    hai kisī shā.ir ḳhūn-e-dil tire ruḳhsār par

    ek dhīmī raushnī hai har dar-o-dīvār par

    dahr har shai tire partav se rangīñ ho ga.ī

    shorish-e-hastī tire dāman meñ aa kar so ga.ī

    meñ aatā hai ki maiñ kah duuñ tujhe rang-e-shabāb

    dil-nashīñ tujh ko batā duuñ koī hastī ḳhvāb

    ki doshīza hai ik mast-e-mai-e-husn-e-bahār

    surḳh āñchal jis uḌtā hai fazā meñ baar baar

    tabassum hai kisī ke chehra-e-zebā

    ki naqsh-e-avvalīñ hai husn-e-be-parvā

    terī surḳhī meñ nihāñ hai kuchh sharāb-e-zindagī

    terī tah meñ ġharq hai mauj-e-shabāb-e-zindagī

    kaash 'sāqib' ko bhī apnā banā le rāz-dār

    justujū-e-rāz meñ muddat se hai vo be-qarār

    ai shafaq ai zewar-e-araish-e-charKH-e-barin

    tujh mein wo shoKHi hai jo KHun-e-shahidan mein nahin

    teri har har mauj mein hai lala-e-ahmar ka rang

    aql-e-insani hai jis ko dekh kar hairat se dang

    tu ne khola mai-kada ahl-e-falak ke waste

    mast in ko kar diya apni sharab-e-surKH se

    tera ye rangin manzar ek tilism-e-KHwab hai

    teri ye shoKHi hai ya ek mauja-e-betab hai

    sach bata de kaun hai jis ka hai tujh mein inikas

    ai shafaq karti hai kis ke nur se tu iqtibas

    hai kisi shair ka KHun-e-dil tere ruKHsar par

    ek dhimi raushni hai har dar-o-diwar par

    dahr ki har shai tere partaw se rangin ho gai

    shorish-e-hasti tere daman mein aa kar so gai

    ji mein aata hai ki main kah dun tujhe rang-e-shabab

    dil-nashin tujh ko bata dun ya koi hasti ka KHwab

    ya ki doshiza hai ek mast-e-mai-e-husn-e-bahaar

    surKH aanchal jis ka uDta hai faza mein bar bar

    ya tabassum hai kisi ke chehra-e-zeba ka tu

    ya ki naqsh-e-awwalin hai husn-e-be-parwa ka tu

    teri surKHi mein nihan hai kuchh sharab-e-zindagi

    teri tah mein gharq hai mauj-e-shabab-e-zindagi

    kash tu 'saqib' ko bhi apna bana le raaz-dar

    justuju-e-raaz mein muddat se hai wo be-qarar

    Source:

    (Pg. 76)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now