Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahar-zade

Salman Sarwat

shahar-zade

Salman Sarwat

MORE BYSalman Sarwat

    is daur ke haiñ qissa-go

    ham shahr-zādoñ suno

    ye dāstān-e-zīst hai

    kuchh ḳhvāb ta.abīr hai

    kuchh dard tamsīl hai

    ā.indagāñ shahr hai raftagāñ aarzū

    ik gahmā-gahmī kū-ba-kū phailī huī hai chār-sū

    ījād-dar-ījād hotī ḳhvāhisheñ aur justujū

    har samt meñ baḌhtā huā ye kār-zār-e-rañg-o-bū

    āsā.ishoñ ke is ghane jañgal meñ tanhā maiñ ki

    ham mash.al-e-āshufta lau

    ham shahr-zādoñ suno

    aur āsmāñ se bāteñ kartīñ un fasīloñ ye jaal

    is jaal meñ mahbūs hotī roz-o-shab ye zindagī

    is zindagī se munqalib hotī huī vāraftagī

    har aan hai koī ḳhalish har pal ki jaise tishnagī

    har haal meñ phir bhī muqaddam kāvish-e-āsūdgī

    ham āsmāñ ke rāh-rau

    ham shahr-zādoñ suno

    is kūcha-o-bāzār meñ ajnās ke ambār haiñ

    fitrat se kosoñ duur haiñ ye jo bhī kārobār haiñ

    is dauḌ meñ sab log paiham subuk-raftār haiñ

    apnī mashīnī zindagī ham aadmī bezār haiñ

    lekin hamāre hausle is daur ke me.amār haiñ

    ham se milī tāroñ ko zau

    ham shahr-zādoñ suno

    hai ḳhud-farāmoshī pe ġhālib ḳhud-farebī chubhan

    takrār se ta.abīr haiñ ye zindagī ke māh-o-san

    yaksāniyat ke dasht meñ khultā hai nudrat chaman

    māyūs jazboñ se idhar kuchh kar dikhāne lagan

    bīm-o-rajā ke darmiyāñ ham shahr-zāde haiñ magan

    ham shahr-zādoñ suno

    ham rāqim-e-tārīḳh-e-nau

    is daur ke hain qissa-go

    hum shahr-zadon ki suno

    ye dastan-e-zist hai

    kuchh KHwab ki tabir hai

    kuchh dard ki tamsil hai

    aaindagan ka shahr ya hai raftagan ki aarzu

    ek gahma-gahmi ku-ba-ku phaili hui hai chaar-su

    ijad-dar-ijad hoti KHwahishen aur justuju

    har samt mein baDhta hua ye kar-zar-e-rang-o-bu

    aasaishon ke is ghane jangal mein tanha main ki tu

    hum mashal-e-ashufta lau

    hum shahr-zadon ki suno

    aur aasman se baaten kartin un fasilon ka ye jal

    is jal mein mahbus hoti roz-o-shab ye zindagi

    is zindagi se munqalib hoti hui waraftagi

    har aan hai koi KHalish har pal ki jaise tishnagi

    har haal mein phir bhi muqaddam kawish-e-asudgi

    hum aasman ke rah-rau

    hum shahr-zadon ki suno

    is kucha-o-bazar mein ajnas ke ambar hain

    fitrat se koson dur hain ye jo bhi karobar hain

    is dauD mein sab log hi paiham subuk-raftar hain

    apni mashini zindagi hum aadmi bezar hain

    lekin hamare hausle is daur ke meamar hain

    hum se mili taron ko zau

    hum shahr-zadon ki suno

    hai KHud-faramoshi pe ghaalib KHud-farebi ki chubhan

    takrar se tabir hain ye zindagi ke mah-o-san

    yaksaniyat ke dasht mein khulta hai nudrat ka chaman

    mayus jazbon se idhar kuchh kar dikhane ki lagan

    bim-o-raja ke darmiyan hum shahr-zade hain magan

    hum shahr-zadon ki suno

    hum raqim-e-tariKH-e-nau

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now