shahid-e-hurriyat
na chheḌo qissa-e-jām-o-subū ko
bachāo mai-kade kī aabrū ko
miTā kar kitne insānoñ kī duniyā
sajā.ī apne aivānoñ kī duniyā
nigāhoñ meñ tumhāre fitna-ḳhū hai
bahāyā tum ne insāñ kā lahū hai
nahīñ hai ye riyā-kāroñ kī bastī
yahāñ raushan hai sham'-e-haq-parastī
nahīñ hai ḳhauf ham ko dhamkīyoñ kā
ḳhayāl aatā hai ham ko zaḳhmiyoñ kā
vatan kā har sipāhī naujavāñ hai
zabāñ par zindagī kī dāstāñ hai
sadā tābinda pā.inda raheñge
shahīd-e-hurriyat zinda raheñge
na chheDo qissa-e-jam-o-subu ko
bachao mai-kade ki aabru ko
miTa kar kitne insanon ki duniya
sajai apne aiwanon ki duniya
nigahon mein tumhaare fitna-KHu hai
bahaya tum ne insan ka lahu hai
nahin hai ye riya-karon ki basti
yahan raushan hai sham'-e-haq-parasti
nahin hai KHauf hum ko dhamkiyon ka
KHayal aata hai hum ko zaKHmiyon ka
watan ka har sipahi naujawan hai
zaban par zindagi ki dastan hai
sada tabinda painda rahenge
shahid-e-hurriyat zinda rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.