aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-ashob

Iftikhar Arif

shahr-ashob

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    ai shahr-e-rasan-basta

    kyā ye tirī manzil hai

    kyā ye tirā hāsil hai

    ye kaun manzar hai

    kuchh bhī to nahīñ khultā

    kyā terā muqaddar hai

    taqdīr-e-fasīl-e-shahr katba hai ki gul-dasta

    ai shahr-e-rasan-basta

    ab koī bhī ḳhvāboñ par īmān nahīñ rakhtā

    kis raah pe jaanā hai kis raah nahīñ jaanā pahchān nahīñ rakhtā

    shā.er ho ki sūrat-gar bāġhoñ charāġhoñ bastī ke sajāne sāmān nahīñ rakhtā

    jis samt nazar kiije āñkhoñ meñ dar aate haiñ aur ḳhuun rulāte haiñ

    yādoñ se bhare dāman lāshoñ se bharā rasta

    ai shahr-e-rasan-basta

    muddat huī logoñ ko chup maar ga.ī jaise

    Thukrā.ī huī ḳhilqat jiine kashākash meñ haar ga.ī jaise

    har saañs ḳhajil Thahrī bekār ga.ī jaise

    ab ġham hikāyat ho lutf bāteñ hoñ koī bhī nahīñ rotā koī bhī nahīñ hañstā

    ai shahr-e-rasan-basta

    ai shahr-e-rasan-basta

    kya ye teri manzil hai

    kya ye tera hasil hai

    ye kaun sa manzar hai

    kuchh bhi to nahin khulta

    kya tera muqaddar hai

    taqdir-e-fasil-e-shahr katba hai ki gul-dasta

    ai shahr-e-rasan-basta

    ab koi bhi KHwabon par iman nahin rakhta

    kis rah pe jaana hai kis rah nahin jaana pahchan nahin rakhta

    shaer ho ki surat-gar baghon ki charaghon ki basti ke sajaane ka saman nahin rakhta

    jis samt nazar kije aankhon mein dar aate hain aur KHun rulate hain

    yaadon se bhare daman lashon se bhara rasta

    ai shahr-e-rasan-basta

    muddat hui logon ko chup mar gai jaise

    Thukrai hui KHilqat jine ki kashakash mein ji haar gai jaise

    har sans KHajil Thahri bekar gai jaise

    ab gham ki hikayat ho ya lutf ki baaten hon koi bhi nahin rota koi bhi nahin hansta

    ai shahr-e-rasan-basta

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    shahr-ashob Iftikhar Arif

    Source:

    Mahr-e-Do Neem (Pg. 127)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now