Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-nawa

Shafiq Fatima Shera

shahr-e-nawa

Shafiq Fatima Shera

MORE BYShafiq Fatima Shera

    us gird-o-navāh meñ mahkī thī

    vo naġhma ba-lab laale kalī

    pattī par lipTī pattī sarkātī

    āhista ḳhirām sunahrī dhūpoñ meñ

    ik puurī rut ḳham us ke

    amrit se bharā

    ik puurī rut DanDī Dhalkāne

    pañkhuḌiyāñ bikhrāne ko darkār huī

    sab chaman chaman gul hauz labālab saa.e ghane

    jhoñkoñ sūrat ravāñ-davāñ

    uftāda ba-zāhir sab rāheñ

    rahtī haiñ paiham sargardāñ

    sab agle pichhle yug

    sab baste ujaḌte gaañv nagar

    sharnāthī nirvāsī

    paiham dohrāte hue

    vo biitī bāteñ

    jin koī ant nahīñ

    pīḌhī pīḌhī kālakh piitī

    in rāhoñ par

    chalte chalte talve pathrā jaate haiñ

    pathrāhaT

    dhīre dhīre hastī zāhir bātin sab letī hai nigal

    āñkheñ sākit

    aañsū jym jaate haiñ

    jab koī na ho

    jab saaya shāḳh-e-gul af.ī ban kar reñge

    har aahaT ke nādīda haath meñ chāqū phal khulā huā

    rah rah kar chamak uThe

    tab kaun hai ye

    shāne par narmī se rakhā jaane vaalā

    ik haath kahīñ ye

    ḳhusrav naġhma to nahīñ

    ik pal sanjog zamānoñ

    jānoñ aur armānoñ

    jharnā ban kar patthar se phuuT paḌā

    ye apnī āñkheñ

    kitne dūr-darāz zamānoñ meñ

    khul saktī haiñ

    paanī is chhāñv ThanDā yaḳh

    paanī meñ basī kuuza sugandh

    marham zaḳhm-e-jigar

    aur kaarī itnā

    ye apnī āñkheñ kitne dūr-darāz

    zamānoñ meñ khul saktī haiñ

    sab kuchh vaisā jaise sach-much

    zī-nafas kushāda gird-o-pesh

    ta.amīr ujlī ujlī

    jādoñ meñ

    har aan ujāgar ojhal arz-o-samā

    is gird-o-navāh meñ utrā thā

    ik shahr-e-navā

    vo ek samay diip samay āñdhī meñ

    jaltā thā yahāñ

    is meñ jitnā bhī shāmil thā

    mahloñ fasīloñ hissa

    nābūd huā

    nābūd huā jaatā hai paiham

    qatl-e-ām ḳhat

    lashkar gāhoñ raqba

    qarnoñ asāsa

    pūrab āhañg ye jaanā pahchānā

    ik narm tamāzat basant-rut meñ

    rachī huī

    jab jab maiñ laalī kahtī huuñ

    ik sūraj zer-e-ḳhatt-e-ufuq

    mahjūb huā jaatā hai jaise ik aalam

    ho us taraf añgusht-numā

    tham jaate haiñ pal bhar ko navā-gar safar-nasīb

    ye kis sāgar parvarda badlī hogī

    kitnī jaañ levā masāfateñ tai kar ke use

    is vaadī ke dāman meñ milā

    hañgām barasne

    us gird-o-nawah mein mahki thi

    wo naghma ba-lab lale ki kali

    patti par lipTi patti sarkati

    aahista KHiram sunahri dhupon mein

    ek puri rut ka KHam us ke

    amrit se bhara

    ek puri rut DanDi Dhalkane

    pankhuDiyan bikhrane ko darkar hui

    sab chaman chaman gul hauz labaalab sae ghane

    jhonkon ki surat ki rawan-dawan

    uftada ba-zahir sab rahen

    rahti hain paiham sargardan

    sab agle pichhle yug

    sab baste ujaDte ganw nagar

    sharnathi nirwasi

    paiham dohraate hue

    wo biti baaten

    jin ka koi ant nahin

    piDhi piDhi kalakh piti

    in rahon par

    chalte chalte talwe pathra jate hain

    pathrahaT

    dhire dhire hasti ka zahir baatin sab leti hai nigal

    aankhen sakit

    aansu jym jate hain

    jab koi na ho

    jab saya shaKH-e-gul afi ban kar renge

    har aahaT ke nadida hath mein chaqu ka phal khula hua

    rah rah kar chamak uThe

    tab kaun hai ye

    shane par narmi se rakha jaane wala

    ek hath kahin ye

    KHusraw ka naghma to nahin

    ek pal sanjog zamanon ka

    jaanon ka aur armanon ka

    jharna ban kar patthar se phuT paDa

    ye apni aankhen

    kitne dur-daraaz zamanon mein

    khul sakti hain

    pani is chhanw ka ThanDa yaKH

    pani mein basi kuza ki sugandh

    marham zaKHm-e-jigar ka

    aur kari itna

    ye apni aankhen kitne dur-daraaz

    zamanon mein khul sakti hain

    sab kuchh waisa hi jaise sach-much ka

    zi-nafas kushada gird-o-pesh

    tamir ujli ujli

    jadon mein

    har aan ujagar ojhal arz-o-sama

    is gird-o-nawah mein utra tha

    ek shahr-e-nawa

    wo ek samay ka dip samay ki aandhi mein

    jalta tha yahan

    is mein jitna bhi shamil tha

    mahlon ka fasilon ka hissa

    nabud hua

    nabud hua jata hai paiham

    qatl-e-am ka KHat

    lashkar gahon ka raqba

    qarnon ka asasa

    purab ka aahang ye jaana pahchana

    ek narm tamazat basant-rut mein

    rachi hui

    jab jab main lali kahti hun

    ek suraj zer-e-KHatt-e-ufuq

    mahjub hua jata hai jaise ek aalam

    ho us ki taraf angusht-numa

    tham jate hain pal bhar ko nawa-gar safar-nasib

    ye kis sagar ki parwarda badli hogi

    kitni jaan lewa masafaten tai kar ke use

    is wadi ke daman mein mila

    hangam barasne ka

    Source:

    Silsila-e-makalmat (Pg. 15)

    • Author: Shafique Fatma Shora
      • Edition: 2006
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now