Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaitan ka farman

Asrar jamayee

shaitan ka farman

Asrar jamayee

MORE BYAsrar jamayee

    uTTho mire mahbūb murīdoñ ko jagā do

    fan-kāroñ ko iblīs paiġhām sunā do

    jis mulk meñ yāroñ ko mayassar na ho wine

    us mulk har ḳhosha-e-angūr jalā do

    garmāo adīboñ lahū whiskey-o-rum se

    shā.ir koī mil jaa.e to Tharrā pilā do

    leader jo nazar aa.e to bolo ye adab se

    taqrīr meñ tum garmi-e-whiskey se jilā do

    paper ke editor se agar kaam ho lenā

    chup-chāp se office meñ beer us ko pilā do

    har bazm meñ angūr beTī ko bulāo

    mullā se añdhere meñ gale us ko lagā do

    shā.ir koī mahfil meñ agar ke na aa.e

    vo paḌh na sake apnī ġhazal shor machā do

    arbāb-e-tadabbur jo haiñ aulād hamārī

    us ko mirā har falsafa-e-zīst sikhā do

    ehsās-e-hamiyyat na rahe dil meñ kisī ke

    petrol chhiḌak kar his-e-ġhairat ko jalā do

    is shā.er-e-gustāḳh ko 'asrār'-e-suḳhan ko

    is nazm taḳhlīq pe phāñsī sazā do

    uTTho mere mahbub muridon ko jaga do

    fan-karon ko iblis ka paigham suna do

    jis mulk mein yaron ko mayassar na ho wine

    us mulk ka har KHosha-e-angur jala do

    garmao adibon ka lahu whiskey-o-rum se

    shair koi mil jae to Tharra hi pila do

    leader jo nazar aae to bolo ye adab se

    taqrir mein tum garmi-e-whiskey se jila do

    paper ke editor se agar kaam ho lena

    chup-chap se office mein beer us ko pila do

    har bazm mein angur ki beTi ko bulao

    mulla se andhere mein gale us ko laga do

    shair koi mahfil mein agar pi ke na aae

    wo paDh na sake apni ghazal shor macha do

    arbab-e-tadabbur jo hain aulad hamari

    us ko mera har falsafa-e-zist sikha do

    ehsas-e-hamiyyat na rahe dil mein kisi ke

    petrol chhiDak kar his-e-ghairat ko jala do

    is shaer-e-gustaKH ko 'asrar'-e-suKHan ko

    is nazm ki taKHliq pe phansi ki saza do

    Source:

    (Pg. 76)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now