Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shama

MORE BYSaqib Kanpuri

    zabt par qudrat hai tujh ko ye ki ḳhāmosh hai

    tere siine meñ agarche yās-o-ġham josh hai

    tere ashkoñ se hai zāhir ranj-e-betābī haal

    bazm meñ jalnā terī zindagī hai ma.aal

    terī dhīmī raushnī meñ hai nihāñ ulfat raaz

    terī har har saañs hai afsāna-e-soz-o-gudāz

    terā jalnā dars hai ahl-e-basīrat ke liye

    sham.a sham-e-hidāyat hai mohabbat ke liye

    sabr mahfil meñ ik hai lazzat-āshnā

    zabt-e-rāz-e-ishq meñ ho jaatī hai ḳhud fanā

    na hotī to na hotī bazm-e-ishrat meñ ziyā

    na hotī to na hotā munkashif rāz-e-fanā

    terī mamnūn haiñ shāh-o-gadā mahfileñ

    haiñ tujhī se pur-ziyā shām-e-alam manzileñ

    na hotī to na hotī ḳhāna-e-ishrat meñ dhuum

    tere dam se to hai kāshāna-e-ġhurbat meñ dhuum

    bekasoñ qabr par rotī hai rātoñ ko

    aane vaalā jin qabroñ par nahīñ hai koī bhī

    sach batā ai sham.a kis ke hijr meñ rotī hai

    kis ke ġham meñ āñsūoñ se apnā muñh dhotī hai

    kyā tujhe bhī hai kisī kam-nigāhī gilā

    kyā tirī hastī bhī hai yās-o-alam meñ mubtalā

    zabt kartī hai jise kaun vo raaz hai

    kis tilism-e-rāz ai sham.a dam-sāz hai

    zabt par qudrat hai tujh ko ye ki tu KHamosh hai

    tere sine mein agarche yas-o-gham ka josh hai

    tere ashkon se hai zahir ranj-e-betabi ka haal

    bazm mein jalna hi teri zindagi ka hai maal

    teri dhimi raushni mein hai nihan ulfat ka raaz

    teri har har sans hai afsana-e-soz-o-gudaz

    tera jalna dars hai ahl-e-basirat ke liye

    shama tu sham-e-hidayat hai mohabbat ke liye

    sabr ki mahfil mein ek tu hi hai lazzat-ashna

    zabt-e-raaz-e-ishq mein ho jati hai KHud hi fana

    tu na hoti to na hoti bazm-e-ishrat mein ziya

    tu na hoti to na hota munkashif raaz-e-fana

    teri hi mamnun hain shah-o-gada ki mahfilen

    hain tujhi se pur-ziya sham-e-alam ki manzilen

    tu na hoti to na hoti KHana-e-ishrat mein dhum

    tere hi dam se to hai kashana-e-ghurbat mein dhum

    bekason ki qabr par roti hai raaton ko tu hi

    aane wala jin ki qabron par nahin hai koi bhi

    sach bata ai shama kis ke hijr mein roti hai tu

    kis ke gham mein aansuon se apna munh dhoti hai tu

    kya tujhe bhi hai kisi ki kam-nigahi ka gila

    kya teri hasti bhi hai yas-o-alam mein mubtala

    zabt karti hai jise tu kaun sa wo raaz hai

    kis tilism-e-raaz ki ai shama tu dam-saz hai

    Source:

    (Pg. 67)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now