Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab

Meeraji

sharab

Meeraji

MORE BYMeeraji

    fuzūl hai

    ye guftugū hai

    nigāh dekhtī hai taaq meñ rakhī haiñ chand botaleñ

    chalo chaleñ

    chalo chaleñ jahāñ hameñ ḳhayāl na aa.e zindagī nazar bhuul hai

    chalo chaleñ jahāñ ye dar ye dastakoñ pe dastakeñ sunā.ī na de sakeñ

    jahāñ ye rauzan-e-zubūñ nigāh miḳhāsamat na kar sake

    jahāñ khulī fazā khulī fazā ki jaise koī kah rahā ho aa.iye

    ye kah rahī ho aa.iye khulī fazā hai ye yahāñ to aa.iye

    magar khulī fazā meñ bhī kabhī gaḌhe kabhī sitāda peḌ kah rahe haiñ dekhiye

    ye guftugū fuzūl hai

    fuzūl hai

    nigāh dekhtī hai taaq meñ rakhī haiñ chand botaleñ

    chalo chaleñ

    jo god maañ thī vo maañ god thī

    vahāñ har ek baat jo fuzūl thī vo ek bhuul thī

    nigāh dekhtī hai taaq meñ rakhī haiñ chand botaleñ

    chalo chaleñ

    bahan ye kah rahī thī ab to aap ghar basā leñ

    maiñ sochtā thā kis ghar hamārā ghar tumhārā ghar

    aur us pe bhaa.ī bol uThā fuzūl hai ye guftugū fuzūl hai

    nigāh dekhtī hai taaq meñ rakhī haiñ chand botaleñ

    chalo chaleñ jahāñ na koī taaq ho na chand botaleñ jahāñ na kah sakeñ chalo chaleñ

    ye guftugū fuzūl hai

    magar vahāñ koī gaḌhā na ho na koī peḌ ho

    vahāñ sukūn-e-āḳhirī se mileñ

    magar yahāñ bhī taaq par rakhī haiñ chand botaleñ

    fuzul hai

    ye guftugu hai

    nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen

    chalo chalen

    chalo chalen jahan hamein KHayal hi na aae zindagi nazar ki bhul hai

    chalo chalen jahan ye dar ye dastakon pe dastaken sunai hi na de saken

    jahan ye rauzan-e-zubun nigah ki miKHasamat na kar sake

    jahan khuli faza khuli faza ki jaise koi kah raha ho aaiye

    ye kah rahi ho aaiye khuli faza hai ye yahan to aaiye

    magar khuli faza mein bhi kabhi gaDhe kabhi sitada peD kah rahe hain dekhiye

    ye guftugu fuzul hai

    fuzul hai

    nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen

    chalo chalen

    jo god man ki thi wo man ki god thi

    wahan har ek baat jo fuzul thi wo ek bhul thi

    nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen

    chalo chalen

    bahan ye kah rahi thi ab to aap ghar basa hi len

    main sochta tha kis ka ghar hamara ghar tumhaara ghar

    aur us pe bhai bol uTha fuzul hai ye guftugu fuzul hai

    nigah dekhti hai taq mein rakhi hain chand botalen

    chalo chalen jahan na koi taq ho na chand botalen jahan na kah saken chalo chalen

    ye guftugu fuzul hai

    magar wahan koi gaDha na ho na koi peD ho

    wahan sukun-e-aKHiri se ja milen

    magar yahan bhi taq par rakhi hain chand botalen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now