aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat nagar

Iqbal Hasan Azad

shararat nagar

Iqbal Hasan Azad

MORE BYIqbal Hasan Azad

    koī aisā schōl bhī to khule

    jahāñ copiyāñ aur kitābeñ na hoñ

    dīvāroñ pe likkhā ho paḌhnā nahīñ

    taraqqī ke ziine pe chaḌhnā nahīñ

    rah-e-ilm meñ aage baḌhnā nahīñ

    gale mere ye ilm maḌhnā nahīñ

    hamesha raheñ ḳhush ki ai chul-bule

    koī aisā schōl bhī to khule

    hameñ na sikhāo ye o T got

    hamārā to ġhussa hai h o T hot

    ki ham toḌ Dāleñ ye o T pot

    chhiḌak deñge chehre pe ham inkpot

    paḌe daaġh aisā ki phir na dhule

    koī aisā schōl bhī to khule

    na karnī paḌe yaad ye history

    na juġhrāfiya ho aur na chemistry

    vakālat kareñge na barristerī

    sikhā do sharārat palmistry

    ki shaitān banñe pe ham haiñ tule

    koī aisā schōl bhī to khule

    baḌe ho ke bhālū nachā.eñge ham

    akhāḌe meñ mugdar ghumā.eñge ham

    na paḌhne ko england jā.eñge ham

    tumhīñ par kabūtar uḌā.eñge ham

    jahālat ke palḌe meñ ham haiñ tule

    koī aisā schōl bhī to khule

    koi aisa school bhi to khule

    jahan copiyan aur kitaben na hon

    diwaron pe likkha ho paDhna nahin

    taraqqi ke zine pe chaDhna nahin

    rah-e-ilm mein aage baDhna nahin

    gale mere ye ilm maDhna nahin

    hamesha rahen KHush ki ai chul-bule

    koi aisa school bhi to khule

    hamein na sikhao ye ji o T got

    hamara to ghussa hai h o T hot

    ki hum toD Dalen ye pi o T pot

    chhiDak denge chehre pe hum inkpot

    paDe dagh aisa ki phir na dhule

    koi aisa school bhi to khule

    na karni paDe yaad ye history

    na jughrafiya ho aur na chemistry

    wakalat karenge na barristeri

    sikha do shararat ki palmistry

    ki shaitan banne pe hum hain tule

    koi aisa school bhi to khule

    baDe ho ke bhaalu nachaenge hum

    akhaDe mein mugdar ghumaenge hum

    na paDhne ko england jaenge hum

    tumhin par kabutar uDaenge hum

    jahaalat ke palDe mein hum hain tule

    koi aisa school bhi to khule

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now