Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat pe tamasha

Sham Durrani

shararat pe tamasha

Sham Durrani

MORE BYSham Durrani

    sāthī ne sharārat aur maar maiñ ne khaa.ī

    baajī ne shikāyat abbū ne piTā.ī

    sab ghar meñ so ga.e jab vo chupke chupke uTThā

    āhista se kitchen meñ choroñ tarah pahuñchā

    khurchī tave se kālak phir us meñ tel Daalā

    le kar kitchen se niklā kālak bharā pyāla

    sab niiñd meñ the kho.e sab be-ḳhabar the so.e

    laayā talāsh kar ke ruī ke chand pho.e

    us ne banā.īñ jhaT-paT baajī dāḌhī moñchheñ

    phir sub.h ko huā kyā aao ye bhī dekheñ

    aisā huā tamāshā aisā huā tamāshā

    baajī ko dekhtā jo hañstā vo be-tahāshā

    āḳhir unhoñ ne sochā kyā ho gayā hai aisā

    kyuuñ hañs rahe haiñ ye sab āḳhir hai mājrā kyā

    jab dekhā aa.ine meñ abbū se shikāyat

    ilzām mujh pe aayā aur bach gayā rifāqat

    sathi ne ki shararat aur mar main ne khai

    baji ne ki shikayat abbu ne ki piTai

    sab ghar mein so gae jab wo chupke chupke uTTha

    aahista se kitchen mein choron ki tarah pahuncha

    khurchi tawe se kalak phir us mein tel Dala

    le kar kitchen se nikla kalak bhara pyala

    sab nind mein the khoe sab be-KHabar the soe

    laya talash kar ke rui ke chand phoe

    us ne banain jhaT-paT baji ki daDhi monchhen

    phir subh ko hua kya aao ji ye bhi dekhen

    aisa hua tamasha aisa hua tamasha

    baji ko dekhta jo hansta wo be-tahasha

    aaKHir unhon ne socha kya ho gaya hai aisa

    kyun hans rahe hain ye sab aaKHir hai majra kya

    jab dekha aaine mein abbu se ki shikayat

    ilzam mujh pe aaya aur bach gaya rifaqat

    related content

    Nazm

    tamashai bhi zalim hain

    wo zalim

    Farah Shahid

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now