Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharai circus ki gidaD

Azra Parveen

sharai circus ki gidaD

Azra Parveen

MORE BYAzra Parveen

    vahī sab thā

    vahī ġham thā vahī rab thā

    vahī atvār-e-kaukab the

    vahī dastūr naḳhshab thā vahī sab thā

    magar is baar ro lene āzādī bhī mujh se chhin ga.ī aise

    ki ye kahnā paḌā pichhle dukhoñ meñ ik sukh to thā

    kam-az-kam rone ke ḳhufiya tarīqe sochnā mujh ko na paḌte the

    mujhe kahnā paḌā āḳhir

    ki shāyad pahle circus meñ maiñ kuchh us se behtar thī

    maiñ is circus meñ gīdaḌ huuñ

    magar maiñ sābiqa circus meñ miTTī sahī par shernī thī maiñ

    wahi sab tha

    wahi gham tha wahi rab tha

    wahi atwar-e-kaukab the

    wahi dastur naKHshab tha wahi sab tha

    magar is bar ro lene ki aazadi bhi mujh se chhin gai aise

    ki ye kahna paDa pichhle dukhon mein ek sukh to tha

    kam-az-kam rone ke KHufiya tariqe sochna mujh ko na paDte the

    mujhe kahna paDa aaKHir

    ki shayad pahle hi circus mein main kuchh us se behtar thi

    main is circus mein gidaD hun

    magar main sabiqa circus mein miTTi ki sahi par sherni thi main

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Sharai circus ki geedad Azra Naqvi

    Source:

    Bara Qabaon Ki Saheli (Pg. 201)

    • Author: Azra Parveen
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now