Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shart

Salma Hijab

shart

Salma Hijab

MORE BYSalma Hijab

    ibtidā se paañv mere munjamid haiñ

    aur mere sar zīnat

    barf ik taaj hai

    hukmrānī aag

    chāroñ taraf

    sūraj phailā raaj hai

    ik kashish qaid meñ

    saarā badan hai

    aur musalsal barf meñ

    jakḌe hue

    pairoñ ko

    hukm-e-raqs hai

    shart hai ki

    barf ko

    sar pe sajā kar

    raqs bhī kartī rahūñ maiñ

    aur kirnoñ tapish ko

    jazb bhī kartī rahūñ maiñ

    kuchh is tarah

    ek qatra bhī na pighle

    aur mire qadmoñ se lipTī

    barf pāzeb meñ

    jumbish na ho

    lekin

    vo bajtī bhī rahe

    ibtida se panw mere munjamid hain

    aur mere sar ki zinat

    barf ka ek taj hai

    hukmrani aag ki

    chaaron taraf

    suraj ka phaila raj hai

    ek kashish ki qaid mein

    sara badan hai

    aur musalsal barf mein

    jakDe hue

    pairon ko

    hukm-e-raqs hai

    shart hai ki

    barf ko

    sar pe saja kar

    raqs bhi karti rahun main

    aur kirnon ki tapish ko

    jazb bhi karti rahun main

    kuchh is tarah

    ek qatra bhi na pighle

    aur mere qadmon se lipTi

    barf ki pazeb mein

    jumbish na ho

    lekin

    wo bajti bhi rahe

    Source:

    Asman Aur Bhi Hain (Pg. 36)

    • Author: Salma Hijab
      • Publisher: Salma Hijab
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now