Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shash-jihat

Akhtar Usman

shash-jihat

Akhtar Usman

MORE BYAkhtar Usman

    lamha-e-nau aziim hai

    sozish-e-dil hai kyā balā jazb-o-junūñ bhī kuchh nahīñ

    sāñjh samāj hech haiñ rishta-e-ḳhūñ bhī kuchh nahīñ

    hasrat va aarzū nai bandish va bastagī lai

    damdama-e-qadīm hai

    ahd-e-kuhan guzar gayā lamha-e-nau aziim hai

    aaj sehr be-badal aaj lau aziim hai

    itr ruuh meñ basī asr ke ruup meñ rachī

    phūTtī pau aziim hai ye tag-o-dau aziim hai

    bahr-e-jadīd auj mauj is meñ guhar haiñ mauj mauj

    sat.h-ba-sat.h sab sadaf nuur rau aziim hai

    taaza tarīn ye jahāñ taaza nujūm va āsmāñ

    un jhalak judā judā un jilau aziim hai

    aur hai is tāb-o-tab aur hai chaal aur chhab

    jo ḳhad-o-ḳhāl hoñ so hoñ aa.ina to aziim hai

    lamha-e-nau aziim hai

    is meñ riyāsatoñ dhan saare nashāt

    sab mehan

    aish dil-o-badan ġhārat-e-zindagī fan

    ek baTan marhala

    lamha-e-nau azim hai

    sozish-e-dil hai kya bala jazb-o-junun bhi kuchh nahin

    sanjh samaj hech hain rishta-e-KHun bhi kuchh nahin

    hasrat wa aarzu ki nai bandish wa bastagi ki lai

    damdama-e-qadim hai

    ahd-e-kuhan guzar gaya lamha-e-nau azim hai

    aaj ka sehr be-badal aaj ki lau azim hai

    itr ki ruh mein basi asr ke rup mein rachi

    phuTti pau azim hai ye tag-o-dau azim hai

    bahr-e-jadid auj mauj is mein guhar hain mauj mauj

    sath-ba-sath sab sadaf nur ki rau azim hai

    taza tarin ye jahan taza nujum wa aasman

    un ki jhalak juda juda un ka jilau azim hai

    aur hai is ki tab-o-tab aur hai chaal aur chhab

    jo KHad-o-KHal hon so hon aaina to azim hai

    lamha-e-nau azim hai

    is mein riyasaton ka dhan sare nashat

    sab mehan

    aish ka dil-o-badan ghaarat-e-zindagi ka fan

    ek baTan ka marhala

    Source:

    Sitarah Saaz (Pg. 66)

    • Author: Akhtar Usman
      • Edition: 2013
      • Publisher: Ahbaab Publications
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now