Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq

MORE BYIftikhar Aazmi

    shaam jab Dhaltī hai maiñ apne ḳharābe taraf

    loTtā huuñ sar-nigūñ, bojhal qadam

    baara ghanToñ mashaqqat aur thakan

    baḌh ke le letī hai mujh ko god meñ

    aur sail-e-tīrgī meñ Duub jaatī hai ummīd o shauq ik ik kiran

    rahguzār-e-ārzū par chār-sū uḌtī hai dhuul

    aur ik āvāz aatī hai kahīñ se

    jo ki an-jānī bhī pahchānī bhī hai

    zindagī kuchh bhī nahīñ, kuchh bhī nahīñ, kuchh bhī nahīñ

    ik musalsal marg, ik sail-e-balā, nezoñ ke ban

    āhoñ, karāhoñ ke sivā

    phir isī tārīk lamhe, phir isī nāzuk ghaḌī

    aarzū rahguzar par chand naqsh-e-pā ubharte haiñ sitāroñ tarah

    lahlahātā hai koī āñchal bahāroñ tarah

    phail jaatī hai kisī gesū nik.hat chār-sū

    ek firdausī tabassum sunahrī chāñdnī

    dhīme dhīme, ziina ziina

    gungunātī, raqs farmātī huī

    bām-e-ġham se ḳhāna-e-dil meñ utar kar

    thapthapātī hai mujhe

    giit gaatī hai, kabhī lorī sunātī hai mujhe

    aur phir jab sub.h ko ḳhurshīd-e-ālam-tāb pahlī kiran

    gudgudātī hai mujhe

    kār-gāh-e-dahr meñ vāpas bulātī hai mujhe

    aarzū o justujū dil meñ javāñ paatā huuñ maiñ

    shauq mai ke nashe meñ chuur ho jaatā huuñ maiñ!!

    sham jab Dhalti hai main apne KHarabe ki taraf

    loTta hun sar-nigun, bojhal qadam

    bara ghanTon ki mashaqqat aur thakan

    baDh ke le leti hai mujh ko god mein

    aur sail-e-tirgi mein Dub jati hai ummid o shauq ki ek ek kiran

    rahguzar-e-arzu par chaar-su uDti hai dhul

    aur ek aawaz aati hai kahin se

    jo ki an-jaani bhi pahchani bhi hai

    zindagi kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin

    ek musalsal marg, ek sail-e-bala, nezon ke ban

    aahon, karahon ke siwa

    phir isi tarik lamhe, phir isi nazuk ghaDi

    aarzu ki rahguzar par chand naqsh-e-pa ubharte hain sitaron ki tarah

    lahlahata hai koi aanchal bahaaron ki tarah

    phail jati hai kisi gesu ki nikhat chaar-su

    ek firdausi tabassum ki sunahri chandni

    dhime dhime, zina zina

    gungunati, raqs farmati hui

    baam-e-gham se KHana-e-dil mein utar kar

    thapthapati hai mujhe

    git gati hai, kabhi lori sunati hai mujhe

    aur phir jab subh ko KHurshid-e-alam-tab ki pahli kiran

    gudgudati hai mujhe

    kar-gah-e-dahr mein wapas bulati hai mujhe

    aarzu o justuju dil mein jawan pata hun main

    shauq ki mai ke nashe mein chur ho jata hun main!!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now