Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikar

Uday Bansal

shikar

Uday Bansal

MORE BYUday Bansal

    hathiyār haath meñ liye saañs roke āñkheñ khole

    shikār taak meñ baiThā huuñ maiñ chuuk koī gunjā.ish nahīñ

    na zarā bhī nahīñ

    ki halkī se halkī harakat par

    āñkhoñ se ojhal ho jaane ke liye mash.hūr hai merā shikār

    bijlī tez lomḌī chālāk-o-chatur hai mirā shikār

    baḌā jokham bharā khel hai shikār

    aañkh aur kaan bachā kar

    sīdhe aañkh par dhāvā boltā hai merā shikār

    aur aisī ḳhaufnāk āvāz

    rātoñ niiñd uḌā detā hai merā shikār

    shikār khilāḌiyoñ khel

    shikār tāj-o-taḳht vāloñ khel

    raajā mahārāja navāb o afsar

    jagīr-dār zamīñdār viceroy governor

    sadiyoñ se sāhiboñ ko masrūf rakhtā ye khel

    maiñ bhī koī ḳhālī nahīñ baiThā

    hathiyār haath meñ liye

    saañs roke āñkheñ khole

    shikār taak meñ baiThā huuñ maiñ

    khiḌkī ke paar aḳhbār moḌe be-ḳhauf

    makkhī ke intizār meñ baiThā huuñ maiñ

    hathiyar hath mein liye sans roke aankhen khole

    shikar ki tak mein baiTha hun main chuk ki koi gunjaish hi nahin

    na zara si bhi nahin

    ki halki se halki harakat par

    aankhon se ojhal ho jaane ke liye mashhur hai mera shikar

    bijli sa tez lomDi sa chaalak-o-chatur hai mera shikar

    baDa hi jokham bhara khel hai shikar

    aankh aur kan bacha kar

    sidhe aankh par dhawa bolta hai mera shikar

    aur aisi KHaufnak aawaz

    raaton ki nind uDa deta hai mera shikar

    shikar khilaDiyon ka khel

    shikar taj-o-taKHt walon ka khel

    raja mahaaraja nawab o afsar

    jagir-dar zamindar wiceroy gowernor

    sadiyon se sahibon ko masruf rakhta ye khel

    main bhi koi KHali nahin baiTha

    hathiyar hath mein liye

    sans roke aankhen khole

    shikar ki tak mein baiTha hun main

    khiDki ke par aKHbar moDe be-KHauf

    makkhi ke intizar mein baiTha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now