Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast-e-arzu

Zehra Alvi

shikast-e-arzu

Zehra Alvi

MORE BYZehra Alvi

    vo rahā thā

    aur

    maiñ ne bas ye kahā thā

    suno ziyāda der mat karnā

    vaqt rahte palaT aanā

    us ne merī āñkhoñ meñ jhāñkte hue kahā

    ham jab mileñge bahāreñ hoñgī

    vaqt kuchh nahīñ bigāḌegā

    aaj vo palaT aayā hai

    use merī siyāh āñkheñ bahut pasand haiñ

    magar siyāh halqe nahīñ

    aur merī āñkhoñ raushnī gahre halqoñ ke bādal ne nigal chuke haiñ

    māthe par fikr tevrī hai

    tanhā.ī dhuup ne mere vajūd ko jhulsā diyā hai

    akele-pan meñ lab kāTne aadat ne

    guloñ se rañgat churā hai

    vaqt panchhī shādmānī ko apne saath le uḌā hai

    aur vo

    āñkhoñ par nafīs chashma sajā.e

    bahāreñ saath liye Table par mahv-e-intizār hai

    maiñ us tak pahuñchte laḌkhaḌā ga.ī huuñ

    aur vo khaḌā anjān nazroñ se kah rahā hai

    ḳhātūn aap tabī.at Thiik nahīñ lagtī

    kis se milnā hai kyā koī kho gayā hai

    maiñ bas itnā kah sakī huuñ

    kahā thā vaqt rahte palaT aanā

    tum bahār ban kar khaḌe ho aur merā vaqt kho gayā

    wo ja raha tha

    aur

    main ne bas ye kaha tha

    suno ziyaada der mat karna

    waqt rahte palaT aana

    us ne meri aankhon mein jhankte hue kaha

    hum jab milenge bahaaren hongi

    waqt kuchh nahin bigaDega

    aaj wo palaT aaya hai

    use meri siyah aankhen bahut pasand hain

    magar siyah halqe nahin

    aur meri aankhon ki raushni gahre halqon ke baadal ne nigal chuke hain

    mathe par fikr ki tewri hai

    tanhai ki dhup ne mere wajud ko jhulsa diya hai

    akele-pan mein lab kaTne ki aadat ne

    gulon se rangat chura li hai

    waqt ka panchhi shadmani ko apne sath le uDa hai

    aur wo

    aankhon par nafis chashma sajae

    bahaaren sath liye Table par mahw-e-intizar hai

    main us tak pahunchte laDkhaDa gai hun

    aur wo khaDa anjaan nazron se kah raha hai

    KHatun aap ki tabiat Thik nahin lagti

    kis se milna hai kya koi kho gaya hai

    main bas itna hi kah saki hun

    kaha tha na waqt rahte palaT aana

    tum bahaar ban kar khaDe ho aur mera waqt kho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now