Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast

Abid Almi

shikast

Abid Almi

MORE BYAbid Almi

    mire kaleje rag rag se huuk uThtī hai

    mujhe mirī har shikastoñ dāstāñ na sunā

    na pūchh mujh se mirī ḳhāmushī raaz na pūchh

    mire dimāġh har gosha dukh rahā hai abhī

    fazā-e-zulmat-e-māzī meñ ai mire hamdam

    Dhake Dhake se mirī kāmrāniyoñ ke nishāñ

    udaas udaas nigāhoñ sham.a se na TaTol

    har ik ke siina pe bār-e-shikast hai is vaqt

    tirā ḳhulūs mirī dāstāñ unvāñ hai

    mire habīb mujhe ab to apnī mohlat de

    ki apne dard ko dil meñ chhupā ke ġham-ḳhurda

    jahāñ se duur kahīñ us taraf nikal jā.ūñ

    vo dekh vaqt ke chehre pe saaf likkhā hai

    ki ye shikast mirī āḳhirī shikast nahīñ

    mere kaleje ki rag rag se huk uThti hai

    mujhe meri har shikaston ki dastan na suna

    na puchh mujh se meri KHamushi ka raaz na puchh

    mere dimagh ka har gosha dukh raha hai abhi

    faza-e-zulmat-e-mazi mein ai mere hamdam

    Dhake Dhake se meri kaamraniyon ke nishan

    udas udas nigahon ki shama se na TaTol

    har ek ke sina pe bar-e-shikast hai is waqt

    tera KHulus meri dastan ka unwan hai

    mere habib mujhe ab to apni mohlat de

    ki apne dard ko dil mein chhupa ke gham-KHurda

    jahan se dur kahin us taraf nikal jaun

    wo dekh waqt ke chehre pe saf likkha hai

    ki ye shikast meri aaKHiri shikast nahin

    Source:

    Jang-azadi aur shora-e-haryana (Pg. E-16 B-17)

    • Author: Abid Almi
      • Edition: 1971
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu, Rohtak, (Haryana)
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now