Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwe ki sham

Nahid Qasmi

shikwe ki sham

Nahid Qasmi

MORE BYNahid Qasmi

    ruḳhsat hote sūraj kirnoñ āñchal thāme thāme

    maiñ bhī chhat par pahuñchī thī

    mire gile-shikve to saare gūñge ban baiThe the

    aur merī kuchh kahtī āñkheñ

    bāra-darī chilman ke hāloñ meñ phañstī thiiñ

    phir kyuuñ gaañv se jaate jaate

    galī ke moḌ pe rukte rukte

    tum ne ūpar, merī jānib dekhā thā

    aur tumhārā uThtā haath zarā kaañp gayā thā

    aur tumhārī raushan raushan āñkheñ bujh ga.ī thiiñ

    duur ufuq meñ sūraj Duub gayā thā

    ruKHsat hote suraj ki kirnon ka aanchal thame thame

    main bhi chhat par ja pahunchi thi

    mere gile-shikwe to sare gunge ban baiThe the

    aur meri kuchh kahti aankhen

    bara-dari ki chilman ke haalon mein phansti thin

    phir kyun ganw se jate jate

    gali ke moD pe rukte rukte

    tum ne upar, meri jaanib dekha tha

    aur tumhaara uThta hath zara sa kanp gaya tha

    aur tumhaari raushan raushan aankhen bujh si gai thin

    dur ufuq mein suraj Dub gaya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now