Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shua-e-farda

Sahir Ludhianvi

shua-e-farda

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    tīra-o-tār fazāoñ meñ sitam-ḳhurda bashar

    aur kuchh der ujāle ke liye tarsegā

    aur kuchh der uThegā dil-e-gītī se dhuāñ

    aur kuchh der fazāoñ se lahū barsegā

    aur phir ahmarīñ hoñToñ ke tabassum tarah

    raat ke chaak se phūTegī shuāoñ lakīr

    aur jamhūr ke bedār ta.āvun ke tufail

    ḳhatm ho jā.egī insāñ ke lahū taqtīr

    aur kuchh der bhaTak le mire darmāñda nadīm

    aur kuchh din abhī zahrāb ke sāġhar le

    nūr-afshāñ chalī aatī hai urūs-e-fardā

    haal tārīk-o-sam-afshāñ sahī lekin le

    tira-o-tar fazaon mein sitam-KHurda bashar

    aur kuchh der ujale ke liye tarsega

    aur kuchh der uThega dil-e-giti se dhuan

    aur kuchh der fazaon se lahu barsega

    aur phir ahmarin honTon ke tabassum ki tarah

    raat ke chaak se phuTegi shuaon ki lakir

    aur jamhur ke bedar taawun ke tufail

    KHatm ho jaegi insan ke lahu ki taqtir

    aur kuchh der bhaTak le mere darmanda nadim

    aur kuchh din abhi zahrab ke saghar pi le

    nur-afshan chali aati hai urus-e-farda

    haal tarik-o-sam-afshan sahi lekin ji le

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 81)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now