Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shuaon ka safar

Athar Aziz

shuaon ka safar

Athar Aziz

MORE BYAthar Aziz

    nafas nafas se navā-e-ġham ajiib lahreñ ubhar rahī haiñ

    kabhī ye lahreñ sukūt-e-shab ko jhinjhoḌtī haiñ

    kabhī sulagtī sadāoñ ko ḳhāmushī sarhad meñ moḌtī haiñ

    samajh meñ aatā nahīñ hai āḳhir

    ki ye mudāvā-e-sang-o-sar tilism

    kab tak tanā rahegā

    siyāh rātoñ hāñptī kāñptī fasīloñ se aage aage

    jo mash.aleñ le ke DhūñDne kuchh nikal paḌe the

    koī to pūchhe kahāñ ga.e vo

    qadam qadam par jo raushnī ke

    hazār-hā dā.ere banā kar palaT ga.e haiñ

    kabhī to un ko bhī chal ke DhūñDeñ

    ki kyā ajab

    ye talāsh tishnagī ke sar-basta raaz khole

    nafas nafas se nawa-e-gham ki ajib lahren ubhar rahi hain

    kabhi ye lahren sukut-e-shab ko jhinjhoDti hain

    kabhi sulagti sadaon ko KHamushi ki sarhad mein moDti hain

    samajh mein aata nahin hai aaKHir

    ki ye mudawa-e-sang-o-sar ka tilism

    kab tak tana rahega

    siyah raaton ki hanpti kanpti fasilon se aage aage

    jo mashalen le ke DhunDne kuchh nikal paDe the

    koi to puchhe kahan gae wo

    qadam qadam par jo raushni ke

    hazar-ha daere bana kar palaT gae hain

    kabhi to un ko bhi chal ke DhunDen

    ki kya ajab

    ye talash hi tishnagi ke sar-basta raaz khole

    Source:

    Silsila-e-Sood-o-Ziyan (Pg. 88)

    • Author: Athar Aziz
      • Publisher: Adshot Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now