Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silan

MORE BYSubodh Lal Saqi

    ham ne apne saath āḳhirī shab

    būḌhe peḌ jhīnī chhatrī ke nīche

    chāñd bhīgī bhīgī kirnoñ ke saath bitā.ī thī

    maiñ ne apne ashkoñ ruḳh moḌ diyā thā

    tum ne palkoñ se do motī mere kañdhe par Taañk diye the

    aur māthe par kabhī na miTne vaalī

    mohr lagā.ī thī ek giile bose

    aglī shab

    us peḌ ke nīche maiñ tanhā thā

    chhūT gayā thā tum se jo rūmāl vahāñ par le aayā thā

    barsoñ ba.ad isī shab

    jānī-pahchānī ḳhushbū vaalī bhīgā-pan

    nazmoñ ek bhūlī huī copy meñ

    sīlan ban kar ubhrā hai

    hum ne apne sath ki aaKHiri shab

    buDhe peD ki jhini chhatri ke niche

    chand ki bhigi bhigi kirnon ke sath bitai thi

    main ne apne ashkon ka ruKH moD diya tha

    tum ne palkon se do moti mere kandhe par Tank diye the

    aur mathe par kabhi na miTne wali

    mohr lagai thi ek gile bose ki

    agli shab

    us peD ke niche main tanha tha

    chhuT gaya tha tum se jo rumal wahan par le aaya tha

    barson baad isi shab ka

    jaani-pahchani KHushbu wali bhiga-pan

    nazmon ki ek bhuli hui si copy mein

    silan ban kar ubhra hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Subodh Lal Saqi

    Subodh Lal Saqi

    Source:

    Namak (Pg. 38)

    • Author: Subodh Saaqi
      • Edition: 2016
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now