Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silsila

Naseer Parwaz

silsila

Naseer Parwaz

MORE BYNaseer Parwaz

    kabhī kabhī ik kiran ujāle

    mere kāñdhe pe haath rakh kar

    ye pūchhtī hai

    ki aur kitnā safar hai baaqī

    huā hai tai kis qadar hai baaqī

    ye rāsta karb-e-āgahī

    kahāñ se niklā gayā kahāñ tak

    charāġh ehsās-e-ḳhud-sarī

    koī bhī likh kar koī bhī paḌh kar nahīñ batātā

    nasīb kaisā hai aadmī

    yaqīn-e-fikr-o-nazar hai baaqī

    sarāb-e-jāñ rahguzar hai baaqī

    magar kisī ko pata nahīñ hai hayāt-e-insāñ hai kitnī baaqī

    bas ek maiñ huuñ ki karb-e-ehsās merā saaya

    ye zaat ġham jo saath aaya

    gumān āñdhiyoñ ne aksar mujhe khilāyā

    nazar nazar ik charāġh āñkhoñ meñ jhilmilāyā

    yaqīñ sūrat

    zamīñ sūrat

    tumhārī raushan jabīñ sūrat

    maiñ ik sadāqat

    charāġh-e-rāhat

    vajūd-e-rif.at

    maiñ zau-fishāñ huuñ

    fanā vaadī se jism merā guzar bhī jaa.e

    mirā badan lamha lamha ban kar bikhar bhī jaa.e

    ye karb-e-fikr-o-nazar ye raushan zamīr merā

    ye zaḳhm-e-tahqīq jo badan par likhā huā hai

    ye zahr aur ik jo ragoñ meñ machal rahā hai

    jise piyā hai samajh ke āb-e-hayāt merī jasāratoñ ne

    har ek siine meñ biij botā rahegā merī tajalliyoñ ke

    khilā.egā saañs saañs tahrīr raushnī

    safar mirī kāvish-e-nazar

    yaqīn rif.at-e-hunar

    na ḳhatm hogā

    kabhi kabhi ek kiran ujale ki

    mere kandhe pe hath rakh kar

    ye puchhti hai

    ki aur kitna safar hai baqi

    hua hai tai kis qadar hai baqi

    ye rasta karb-e-agahi ka

    kahan se nikla gaya kahan tak

    charagh ehsas-e-KHud-sari ka

    koi bhi likh kar koi bhi paDh kar nahin batata

    nasib kaisa hai aadmi ka

    yaqin-e-fikr-o-nazar hai baqi

    sarab-e-jaan rahguzar hai baqi

    magar kisi ko pata nahin hai hayat-e-insan hai kitni baqi

    bas ek main hun ki karb-e-ehsas mera saya

    ye zat ka gham jo sath aaya

    guman ki aandhiyon ne aksar mujhe khilaya

    nazar nazar ek charagh aankhon mein jhilmilaya

    yaqin ki surat

    zamin ki surat

    tumhaari raushan jabin ki surat

    main ek sadaqat

    charagh-e-rahat

    wajud-e-rifat

    main zau-fishan hun

    fana ki wadi se jism mera guzar bhi jae

    mera badan lamha lamha ban kar bikhar bhi jae

    ye karb-e-fikr-o-nazar ye raushan zamir mera

    ye zaKHm-e-tahqiq jo badan par likha hua hai

    ye zahr aur ek jo ragon mein machal raha hai

    jise piya hai samajh ke aab-e-hayat meri jasaraton ne

    har ek sine mein bij bota rahega meri tajalliyon ke

    khilaega sans sans tahrir raushni ki

    safar meri kawish-e-nazar ka

    yaqin ka rifat-e-hunar ka

    na KHatm hoga

    Source:

    (Pg. 20)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now