Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

silsila KHwabon ka

Muslim Shameem

silsila KHwabon ka

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    kitnī dilkash haiñ tire āriz-o-lab yādeñ

    kis qadar tauba-shikan hai tirī zulfoñ ḳhayāl

    kitnā pur-kaif tasavvur hai tirī āñkhoñ

    taab kis ko hai jo dekhe tirī qāmat jamāl

    taab kis ko hai jo dekhe tirī qāmat jamāl

    tujh ko ik phuul kahūñ chāñd kahūñ ḳhvāb kahūñ

    zehn-e-shā.ir meñ ba-yak-vaqt ye ubhre haiñ savāl

    tere chehre ko sabhī ek kañval kahte haiñ

    aur ham tujh ko sarāpā-e-ġhazal kahte haiñ

    mere jazbāt farāvāñ mire zaḳhmoñ ke nishāñ

    terī duzdīda-nigāhī gila karte haiñ

    har ghaḌī phuul damakte hue ruḳhsāroñ ke

    mere ehsās ke gulshan meñ khilā karte haiñ

    kyā batā.ūñ tujhe apne dil-e-betāb haal

    kitne dīpak mire siine meñ jalā karte haiñ

    be-niyāz-e-ġham-e-ayyām mire zehn-o-nazar

    gum sarāb-e-lab-o-āriz meñ rahā karte haiñ

    tirī āvāz ke sho.aloñ meñ sahar jaltī hai

    muskurāhaT meñ tirī barq-e-tapāñ paltī hai

    lekin ai jān-e-suḳhan tujh ko ḳhabar hai ki nahīñ

    mere kāshāna-e-ġhurbat pe nazar hai ki nahīñ

    ki parvarda-e-āġhosh-e-nasīm-e-gulshan

    jism-e-sīmīñ pe ye zartār tire pairāhan

    garm jhoñkoñ ināyat se bacheñge kab tak

    ḳhār-zār-e-ġham-e-hastī meñ raheñge kab tak

    mutrib-e-vaqt kahīñ chheḌ na de talḳh ġhazal

    Dar hai mismār na ho jaa.e ye naġhmoñ mahal

    jān-e-jāñ silsila ḳhvāboñ kahīñ TuuT na jaa.e

    tere hāthoñ se kahīñ jām-e-vafā chhūT na jaa.e

    kitni dilkash hain tere aariz-o-lab ki yaaden

    kis qadar tauba-shikan hai teri zulfon ka KHayal

    kitna pur-kaif tasawwur hai teri aankhon ka

    tab kis ko hai jo dekhe teri qamat ka jamal

    tab kis ko hai jo dekhe teri qamat ka jamal

    tujh ko ek phul kahun chand kahun KHwab kahun

    zehn-e-shair mein ba-yak-waqt ye ubhre hain sawal

    tere chehre ko sabhi ek kanwal kahte hain

    aur hum tujh ko sarapa-e-ghazal kahte hain

    mere jazbaat farawan mere zaKHmon ke nishan

    teri duzdida-nigahi ka gila karte hain

    har ghaDi phul damakte hue ruKHsaron ke

    mere ehsas ke gulshan mein khila karte hain

    kya bataun tujhe apne dil-e-betab ka haal

    kitne dipak mere sine mein jala karte hain

    be-niyaz-e-gham-e-ayyam mere zehn-o-nazar

    gum sarab-e-lab-o-ariz mein raha karte hain

    teri aawaz ke shoalon mein sahar jalti hai

    muskurahaT mein teri barq-e-tapan palti hai

    lekin ai jaan-e-suKHan tujh ko KHabar hai ki nahin

    mere kashana-e-ghurbat pe nazar hai ki nahin

    tu ki parwarda-e-aghosh-e-nasim-e-gulshan

    jism-e-simin pe ye zartar tere pairahan

    garm jhonkon ki inayat se bachenge kab tak

    KHar-zar-e-gham-e-hasti mein rahenge kab tak

    mutrib-e-waqt kahin chheD na de talKH ghazal

    Dar hai mismar na ho jae ye naghmon ka mahal

    jaan-e-jaan silsila KHwabon ka kahin TuT na jae

    tere hathon se kahin jam-e-wafa chhuT na jae

    Source:

    Imkan (Pg. 121)

    • Author: Muslim Shameem
      • Publisher: Javedan Pulications, Karachi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now