Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sirf main hun

Yusuf Kamran

sirf main hun

Yusuf Kamran

MORE BYYusuf Kamran

    ye aag paanī havā ye miTTī

    ye vāhimoñ karishma-sāzī

    ye ilm-o-fan ke tamām qisse

    ye aql-o-dānish saarī bāteñ

    ye sab dilāse banāvaTī haiñ

    maiñ dostoñ dushmanoñ zad meñ huuñ

    har koī pesh-goiyoñ ke darāz qisse sunā rahā hai

    mirī fanā se mirī baqā se

    kisī ko koī ġharaz nahīñ hai

    ki sab ko apne mafād apne currency noToñ fikr hai

    har koī talab aur rasad ke chakkar meñ apne bhaav chaḌhā rahā hai

    khulī fazāoñ meñ par sameTe hue parinde

    tahaffuz-e-zāt ke qaziyyoñ khurdurī soch ke darīchoñ se

    aane vaalī sa.ūbatoñ ke muhīb manzar dikhā rahe haiñ

    ye kyā hai sab kuchh ki kuchh nahīñ hai

    havās dastaras se baalā

    mire liye sab vo sadāqat hai jo mire jism ko jaañ ko chhū kar guzar rahī hai

    ki maiñ haqīqī mushāhidoñ tajraboñ bhaTTī meñ jal rahā huuñ

    ye aag paanī havā na miTTī hai

    sirf maiñ huuñ

    ye aag pani hawa ye miTTi

    ye wahimon ki karishma-sazi

    ye ilm-o-fan ke tamam qisse

    ye aql-o-danish ki sari baaten

    ye sab dilase banawaTi hain

    main doston dushmanon ki zad mein hun

    har koi pesh-goiyon ke daraaz qisse suna raha hai

    meri fana se meri baqa se

    kisi ko koi gharaz nahin hai

    ki sab ko apne mafad apne currency noTon ki fikr hai

    har koi talab aur rasad ke chakkar mein apne bhaw chaDha raha hai

    khuli fazaon mein par sameTe hue parinde

    tahaffuz-e-zat ke qaziyyon ki khurduri soch ke darichon se

    aane wali saubaton ke muhib manzar dikha rahe hain

    ye kya hai sab kuchh ki kuchh nahin hai

    hawas ki dastaras se baala

    mere liye sab wo sadaqat hai jo mere jism ko jaan ko chhu kar guzar rahi hai

    ki main haqiqi mushahidon tajrabon ki bhaTTi mein jal raha hun

    ye aag pani hawa na miTTi hai

    sirf main hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now