Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam-gar

Saira Iqbal

sitam-gar

Saira Iqbal

MORE BYSaira Iqbal

    tum mujh par vārid hue

    ik sitamgar tarah

    may vo shaam thī

    mujhe aaj bhī yaad hai

    safed rañg shirt pahne

    haath meñ aḳhbār rol kiye

    tum pinDāl kursī par birājmān the

    pahlī nazar meñ tum aam se the

    jaise tum āshiq ho aur maiñ mahbūb

    merī nazar lams tumheñ ḳhāsā ḳhaas kar gayā

    dekho

    kahānī ne palTā khāyā

    tum muhib ban ga.e aur maiñ dīvānī kahlā.ī

    mere aate tum simaT ga.e

    tab se aaj tak vaise merī ruuh meñ

    ek koñpal tarah simTe baiThe ho

    maiñ muntazir huuñ

    kab ehsās nāzuk parinda añgḌā.ī le

    tum apnī bāñheñ phailā.e

    isī pinDāl isī kursī par

    gahrī ḳhāmoshī se shor karte hue

    merī taraf baḌho

    ki dekhne vāloñ ko pākīza mohabbat

    raqs kartī dikhā.ī de

    jis meñ na numā.ish ho na havas

    bas ik surūr ho

    aur maiñ

    maiñ zamīn ke isī be-bas be-his TukḌe par āñkheñ mūñde tumheñ dekhtī rahūñ

    pachhtāve jaal aaj tak mujhe lapeT meñ jakḌe hai

    maiñ kisī asīr-zādī tarah

    apnī qaid ko taqdīr likhā jaan kar ḳhush huuñ

    maiñ iz.hār-o-iqrār se barī

    apnī ḳhvāhish par hayā chādar Daale

    mohabbat tauq gale meñ laTkā.e

    ḳhamoshī ko laboñ par sajā.e

    nā-ummīdī ko shikast dete hue

    gūñgī bahrī andhī mohabbat par iktifā kiye hue huuñ

    ki asiir ḳhvāhish-o-farmā.ish haq nahīñ rakhte

    tum mujh par warid hue

    ek sitamgar ki tarah

    may ki wo sham thi

    mujhe aaj bhi yaad hai

    safed rang ki shirt pahne

    hath mein aKHbar rol kiye

    tum pinDal ki kursi par birajman the

    pahli nazar mein tum aam se the

    jaise tum aashiq ho aur main mahbub

    meri nazar ka lams tumhein KHasa KHas kar gaya

    dekho

    kahani ne palTa khaya

    tum muhib ban gae aur main diwani kahlai

    mere aate hi tum simaT gae

    tab se aaj tak waise hi meri ruh mein

    ek konpal ki tarah simTe baiThe ho

    main muntazir hun

    kab ehsas ka nazuk parinda angDai le

    tum apni banhen phailae

    isi pinDal ki isi kursi par

    gahri KHamoshi se shor karte hue

    meri taraf baDho

    ki dekhne walon ko pakiza mohabbat

    raqs karti dikhai de

    jis mein na numaish ho na hawas

    bas ek surur ho

    aur main

    main zamin ke isi be-bas be-his TukDe par aankhen munde tumhein dekhti rahun

    pachhtawe ka jal aaj tak mujhe lapeT mein jakDe hai

    main kisi asir-zadi ki tarah

    apni qaid ko taqdir ka likha jaan kar KHush hun

    main izhaar-o-iqrar se bari

    apni KHwahish par haya ki chadar Dale

    mohabbat ka tauq gale mein laTkae

    KHamoshi ko labon par sajae

    na-ummidi ko shikast dete hue

    gungi bahri andhi mohabbat par iktifa kiye hue hun

    ki asir KHwahish-o-farmaish ka haq nahin rakhte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now