Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyani

MORE BYMubashshir Ali Zaidi

    vo laḌkī har pahelī buujh letī hai

    use har muamma hal karnā aatā hai

    har uljhan ko suljhā letī hai

    har mas.ale hal talāsh kar letī hai

    har mushkil ko āsān banā detī hai

    har pareshānī duur kar detī hai

    chāñd ke us paar ḳhabar le aatī hai

    gahre samundar tah meñ jhāñk letī hai

    hathelī par naqsh lakīreñ paḌh saktī hai

    chehre par ubhrī huī tahrīreñ samajh jaatī hai

    āñkhoñ meñ chhupe hue dard jaan letī hai

    tamām savālāt ke javāb use aate haiñ

    bas mere ek savāl javāb kabhī nahīñ detī

    vo laḌkī hai koī pahelī hai

    wo laDki har paheli bujh leti hai

    use har muamma hal karna aata hai

    har uljhan ko suljha leti hai

    har masale ka hal talash kar leti hai

    har mushkil ko aasan bana deti hai

    har pareshani dur kar deti hai

    chand ke us par ki KHabar le aati hai

    gahre samundar ki tah mein jhank leti hai

    hatheli par naqsh lakiren paDh sakti hai

    chehre par ubhri hui tahriren samajh jati hai

    aankhon mein chhupe hue dard jaan leti hai

    tamam sawalat ke jawab use aate hain

    bas mere ek sawal ka jawab kabhi nahin deti

    wo laDki hai ya koi paheli hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now