snow angel
raat ko kamre kā sannāTā
jakaḌ letā hai apne āhanī hāthoñ meñ
aur phir lā paTaḳhtā hai usī bistar pe
jis kī barq sī burrāq chādar kī har ek silvaT meñ tum lipTī paḌī ho
dāhinī jānib kā halkā jhol
jis se ik mukammal jism kā ḳhāka ubhartā hai
snow angel kā shāyad
us badan kā jo tum apne saath le kar jā chukī ho
aur maiñ Dartā huuñ baa.eñ haath sotā huuñ
tumhārā naqsh bistar se snow angel kā ḳhāka miT gayā
to shab ke sannāTe meñ kis se baat hogī
raat ko kamre ka sannaTa
jakaD leta hai apne aahani hathon mein
aur phir la paTaKHta hai usi bistar pe
jis ki barq si burraq chadar ki har ek silwaT mein tum lipTi paDi ho
dahini jaanib ka halka jhol
jis se ek mukammal jism ka KHaka ubharta hai
snow angel ka shayad
us badan ka jo tum apne sath le kar ja chuki ho
aur main Darta hun baen hath sota hun
tumhaara naqsh bistar se snow angel ka KHaka miT gaya
to shab ke sannaTe mein kis se baat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.