Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sote mein muskuraate bachche ko dekh kar

Bilal Ahmad

sote mein muskuraate bachche ko dekh kar

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    tirī maḳhmūr muskān abhī dekhī to yaad aayā

    mirī muskān par ik din mujhe maañ ne batāyā thā ki chhoTā thā to aksar niiñd meñ maiñ muskurātā thā

    (ulūhī uñgliyoñ chheḌ mīThā tarannum mere lab par raqs kartā thaa)

    ki jaise gudgudī ke ik latīf ehsās qulqul se merī niiñd hañstī thī

    ye guzre kal qissa hai, vo guzre kal bastī thī

    ḳhudā aur maañ aur bachpan zamāna thā

    vo jis meñ rahā thā maiñ asātīrī zamānoñ koī pahlā fasāna thā

    ki ahd-e-be-ḳhudā meñ be-amāñ be-sā.ebāñ huuñ maiñ

    sau niiñd aatī nahīñ mujh ko, aur aa.e bhī to Dar chaap se har ḳhvāb kaañp uTThe

    sau marg-e-ḳhvāb rut meñ

    tirī maḳhmūr muskān abhī dekhī to vīrāñ-ḳhāna-e-lab se duā niklī

    ḳhudā aur terī chheḌ yūñhī umar bhī Thahre

    ulūhī uñgliyoñ lams daa.im mo'tabar Thahre

    tire har ḳhvāb ke us paar ik ḳhvāb-e-digar Thahre

    teri maKHmur si muskan abhi dekhi to yaad aaya

    meri muskan par ek din mujhe man ne bataya tha ki chhoTa tha to aksar nind mein main muskuraata tha

    (uluhi ungliyon ki chheD ka miTha tarannum mere lab par raqs karta tha)

    ki jaise gudgudi ke ek latif ehsas ki qulqul se meri nind hansti thi

    ye guzre kal ka qissa hai, wo guzre kal ki basti thi

    KHuda ka aur man ka aur bachpan ka zamana tha

    wo jis mein ji raha tha main asatiri zamanon ka koi pahla fasana tha

    ki ahd-e-be-KHuda mein be-aman be-saeban hun main

    sau nind aati nahin mujh ko, aur aae bhi to Dar ki chap se har KHwab kanp uTThe

    sau marg-e-KHwab ki rut mein

    teri maKHmur si muskan abhi dekhi to viran-KHana-e-lab se dua nikli

    KHuda ki aur teri chheD yunhi umar bhi Thahre

    uluhi ungliyon ka lams daim mo'tabar Thahre

    tere har KHwab ke us par ek KHwab-e-digar Thahre

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now