subah ka intizar kaun kare
qayāmat kab nahīñ aa.ī
sukūñ se āshnā kab haiñ
magar ab bhī ji.e jaate haiñ ham aur tum
gunāhoñ ke talazzuz se kabhī guzre
kabhī pākīzgī hī ḳhud
hamāre paañv kī zanjīr bantī hai
yahī ik silsila hai
qayāmat ḳhatm hone tak yahī chaltā rahegā
ḳhushī kā ek pal aa.e
hazāroñ karb ke badle
to ye lagtā hai jaane kyoñ
koī vaqfa ġhanīmat hai
agar jiinā muqaddar hai
agar chāho abhī kuchh aur jī leñ ham
to zillat jabr aur rusvā.iyoñ ke
ka.ī advār dekheñge
laboñ par ḳhāmushī jazbāt par pahre
usūl-e-zindagī ke ab
na.e sab zābte hoñge
qayāmat ḳhatm hone tak
jo chāho tum sar-e-taslīm ḳham kar lo
vagarna phir
nadāmat oḌh kar hijrat pe āmāda
kafan Dhote hue logoñ ko aane do
qayamat kab nahin aai
sukun se aashna kab hain
magar ab bhi jie jate hain hum aur tum
gunahon ke talazzuz se kabhi guzre
kabhi pakizgi hi KHud
hamare panw ki zanjir banti hai
yahi ek silsila hai
qayamat KHatm hone tak yahi chalta rahega
KHushi ka ek pal aae
hazaron karb ke badle
to ye lagta hai jaane kyon
koi waqfa ghanimat hai
agar jina muqaddar hai
agar chaho abhi kuchh aur ji len hum
to zillat jabr aur ruswaiyon ke
kai adwar dekhenge
labon par KHamushi jazbaat par pahre
usul-e-zindagi ke ab
nae sab zabte honge
qayamat KHatm hone tak
jo chaho tum sar-e-taslim KHam kar lo
wagarna phir
nadamat oDh kar hijrat pe aamada
kafan Dhote hue logon ko aane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.