Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh ka tassur

Niyaz Haidar

subh ka tassur

Niyaz Haidar

MORE BYNiyaz Haidar

    savere

    sair ko jaate hue mere ta.āqub meñ

    parindoñ chahak

    bād-e-sahar-gāhī ke halkore

    ḳhumār o ḳhvāb saarī thakan maiñ bhuul jaatā huuñ

    ḳhirām-e-kaif-āvar

    taal ḳhush-raftār qadmoñ

    ravāñ rakhtī hai ik anjān manzil taraf mujh ko

    suhāne vaqt vo surma.ī dhundlī fazā

    jis meñ ghane ashjār

    shāḳh o barg

    raqs āġhāz karte haiñ

    daraḳhtoñ ke zamurrad rañg-e-pairāhan halchal par

    shafaq apnā tabassum jab nichhāvar karne aatī hai

    ruḳh giitī pe sharmā.ī huī tāzgī jis dam

    nazar meñ qatra-e-shabnam sūrat jhilmilātī hai

    ḳhayāl aatā hai tab mujh ko

    ki is duniyā jannat meñ

    falākat aur ġhurbat ke jahannam kyuuñ dahakte haiñ

    ye husn-e-arz ke

    taz.īn o ārā.ish ke shaidā.ī

    ġham-o-andoh ke ġhāroñ meñ nafrat ke shikanjoñ meñ

    ba-nām-e-zindagi kyūñki ajal raah takte haiñ

    bhayānak raat chhā jaatī hai phir mere taḳhayyul par

    to merī zehn ke mashriq se ik sūraj ubhartā hai

    shuāoñ meñ payām-e-johd tābindagī le kar

    tamāzat se yaqīn o azm ko ma.amūr kartā hai

    sahar nā-āshnā dil gum na kar jaatī hai tārīkī

    umīdoñ ārzūoñ ḳhabar laatī hai tārīkī

    ḳhumār o ḳhvāb saarī thakan maiñ bhuul jaatā huuñ

    sawere

    sair ko jate hue mere taaqub mein

    parindon ki chahak

    baad-e-sahar-gahi ke halkore

    KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun

    KHiram-e-kaif-awar

    tal KHush-raftar qadmon ki

    rawan rakhti hai ek anjaan manzil ki taraf mujh ko

    suhane waqt ki wo surmai dhundli faza

    jis mein ghane ashjar

    shaKH o barg

    raqs aaghaz karte hain

    daraKHton ke zamurrad rang-e-pairahan ki halchal par

    shafaq apna tabassum jab nichhawar karne aati hai

    ruKH giti pe sharmai hui si tazgi jis dam

    nazar mein qatra-e-shabnam ki surat jhilmilati hai

    KHayal aata hai tab mujh ko

    ki is duniya ki jannat mein

    falakat aur ghurbat ke jahannam kyun dahakte hain

    ye husn-e-arz ke

    tazin o aaraish ke shaidai

    gham-o-andoh ke ghaaron mein nafrat ke shikanjon mein

    ba-nam-e-zindagi kyunki ajal ki rah takte hain

    bhayanak raat chha jati hai phir mere taKHayyul par

    to meri zehn ke mashriq se ek suraj ubharta hai

    shuaon mein payam-e-johd ki tabindagi le kar

    tamazat se yaqin o azm ko mamur karta hai

    sahar na-ashna dil gum na kar jati hai tariki

    umidon aarzuon ki KHabar lati hai tariki

    KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now