Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun

MORE BYAkhtarul Iman

    na zahr-e-ḳhand laboñ par, na aañkh meñ aañsū

    na zaḳhm-hā-e-darūñ ko hai justujū-e-ma.āl

    na tīrgī talātum, na sail-e-rañg-o-nūr

    na ḳhār-zār-e-tamannā meñ gumrahī ḳhayāl

    na ātish-e-gul-e-lāla daaġh siine meñ

    na shorish-e-ġham-e-pinhāñ na ārzū-e-visāl

    na ishtiyāq, na hairat, na iztirāb, na sog

    sukūt-e-shām meñ khoī huī kahānī

    tavīl raat tanhā.iyāñ nahīñ be-rañg

    abhī huā nahīñ shāyad lahū javānī

    hayāt o maut had meñ haiñ valvale chup-chāp

    guzar rahe haiñ dabe paañv qāfile chup-chāp

    na zahr-e-KHand labon par, na aankh mein aansu

    na zaKHm-ha-e-darun ko hai justuju-e-maal

    na tirgi ka talatum, na sail-e-rang-o-nur

    na KHar-zar-e-tamanna mein gumrahi ka KHayal

    na aatish-e-gul-e-lala ka dagh sine mein

    na shorish-e-gham-e-pinhan na aarzu-e-visal

    na ishtiyaq, na hairat, na iztirab, na sog

    sukut-e-sham mein khoi hui kahani ka

    tawil raat ki tanhaiyan nahin be-rang

    abhi hua nahin shayad lahu jawani ka

    hayat o maut ki had mein hain walwale chup-chap

    guzar rahe hain dabe panw qafile chup-chap

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now