Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suljha liya KHud ko

Supriya Swapnil

suljha liya KHud ko

Supriya Swapnil

MORE BYSupriya Swapnil

    kabhī kabhī ḳhud ulajh jaatī huuñ maiñ

    shāyad ḳhud ko nahīñ samajh paatī huuñ maiñ

    kyā ahliyat merī kuchh bhī nahīñ

    kyā zarūrateñ merī kuchh bhī nahīñ

    maiñ ye nahīñ kahtī ki sirf maiñ sahī

    koī insāñ nahīñ jis meñ nahīñ koī kamī

    ho saktā hai ki merī ummīd ho kuchh ziyāda

    par bhūlī nahīñ huuñ maiñ insāniyat va.ada

    socho hamesha dene kuchh lene se pahle

    koī dil dukhā.e bhī to us vaqt ko sah le

    de ke use kuchh vaqt aur le ke vaqt apnā bhī

    phir dhīre se de de apnī safā.ī

    dekh usī vaqt barsegī ḳhudā.ī

    jiit le ga.e ek dil bas itne jannat se

    zindagī yuuñ kaT jā.egī chain amn se

    dekhā baiThe baiThe suljhā liyā ḳhud ko

    bas sochte hue liyā ḳhud ko

    raah hai mushkil par chalnā zarūr hai

    dekh terī manzil ab thoḌī duur hai

    kabhi kabhi KHud hi ulajh jati hun main

    shayad KHud ko hi nahin samajh pati hun main

    kya ahliyat meri kuchh bhi nahin

    kya zaruraten meri kuchh bhi nahin

    main ye nahin kahti ki sirf main hi sahi

    koi insan nahin jis mein nahin koi kami

    ho sakta hai ki meri ummid ho kuchh ziyaada

    par bhuli nahin hun main insaniyat ka wada

    socho hamesha dene ki kuchh lene se pahle

    koi dil dukhae bhi to us waqt ko sah le

    de ke use kuchh waqt aur le ke waqt apna bhi

    phir dhire se de de tu apni safai

    dekh usi waqt barsegi KHudai

    jit le gae ek dil bas itne jannat se

    zindagi yun hi kaT jaegi chain amn se

    dekha baiThe baiThe hi suljha liya KHud ko

    bas sochte hue hi pa liya KHud ko

    rah hai mushkil par chalna zarur hai

    dekh teri manzil ab thoDi hi dur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now